**Nadaan Larki---- **Aik thehri hui jheel ke terha !!
jiss meen koi na koi pather pheenk ker uss ka sakoon barbaad ker deta hai
**Nadaan Larki---- **Muhabbat ke doo Lafzoon se pighaal jaanay waali !!
Jo Muhabbat baad meen jaanay kahan ghaib ho jatti hai…
**Nadaan Larki---- **Mazboot Nazar anay ke kooshish kerne waali !!
Lekin aik darr, aik khauf uss ke chahray aur ankhon meen phir bhi saaf nazar atta hai…
**Nadaan Larki---- ** Her Rooz aik naya ehaad kerne waali !!!
Jo toot-tay zara bhi deir nahi Lagti…
**Nadaan Larki---- **Her khoobsoorat Lehjay walay ko acha samjhnay waali…
Jiss ka Rang uttarnay ke baad, Hairan pareshan aur Pashemaan …
**Nadaan Larki---- **Bilkul Seedha aagay BhaRna Chahti hai !!!
ye jantay huay bhi ke Hazaar Rakawtain uss ke raastay meen hain
**Nadaan Larki---- **uss ghar ko sajhanay wali jo uss ka hai hi nahi !!!
Maa baap/ Bhaion ka ghar…
**Nadaan Larki---- **Aik jagah se dhooka khanay ke baad phir se Aitbaar kerne waali !!!
**Nadaan Larki---- **Ye sooch rakhne wali ke
Achi Taleem Haasil ker ke uss ko zindagi meen sab kuch mill jaye ga…
**Nadaan Larki---- **Takleef -dey yaadon ko bhoolnay ke kooshish kerne waali !!
ye jantay huay bhi ke Maazi kabhi nahi miTta…