Re: Bait Bazi -- July 2007
*Na gai teri bayrukhi na gai
Hum teri arzoo bhi khoo baithay...
*
"Ye"
Re: Bait Bazi -- July 2007
*Na gai teri bayrukhi na gai
Hum teri arzoo bhi khoo baithay...
*
"Ye"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Yahi qurbatain, yahi faslay to khaloos-e-ishq ki jaan hain
Kabhi grd ranj-o-malal hai, kabhi fikr parastish haal hai
"yay"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Y*aa Muhabbat bhi kiya ajab rog hai Faraz
key jisay bhoola woo sada yaad aya
*
"Alif"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Aik mudat say meray khat nahi miltay us ko
Her lifafay pay main apna hi pata likhta hoon
"noon"
Re: Bait Bazi – July 2007
Neendon ko tarasti hui ankhon main na jhanko
in main bhi kabhikhwabon ki rut aai to hogi
“Ye”
Re: Bait Bazi -- July 2007
Younhi khatm hijr ka baab ho nay saal main
Koi khwab bhi tera khwab ho nay saal main
"noon"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Nahi kay us nay gawa'ay hain mah-o-saal apnay
Taamam umar kati yuon bhe rai'gan Mohsin
noon
Re: Bait Bazi -- July 2007
Nazer jo chaand pay ki dil main muskuray tum
Dua ko hath uthay to yaad aay tum
Bahar aai, saba aai, her khushi aai
Sab aay eid k mehman mager na aay tum
"meem"
Re: Bait Bazi -- July 2007
*Meri aawaz ki talkhi ko gawaara kar ley
merey gustaakh sawaaloN se pareshaN na ho
*
"Wao"
Re: Bait Bazi -- July 2007
wafa mein ab ye hunar ikhtayar karna hai
Woh such kahay na kahay aitbar karna hai
Re: Bait Bazi -- July 2007
Youn shakistoon say dar nahi jatay
Koi bichray to mar nahi jatay
"yay"
i posted shair with "wow" but same time soniya jee posted it so i edited my post.
Re: Bait Bazi -- July 2007
Ab tu khahish hai kay ye zakhm bhi kha kar dekhain gay
lamha bhar ko he sahee uss ko bhula kar dekhain gay
Re: Bait Bazi -- July 2007
Yay dukh nahi k andheroon say sulah ki hum nay
Malal yay hai keh ab subha ki talab bhi naheen
"noon"
Re: Bait Bazi -- July 2007
*Naya mosam meri beenai ko tasleem nahi
meri ankon ko wahi khuwab purana la dey
*
"Ye"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Yay saal bhi guzra hai teray pyar ki manid
Aatay hoay kuch or tha, jatay hoay kuch or
"ray"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Rait par naam kabi likhtay nahien
Rait par likhay naam kabi tiktay nahi
kehtay hian loug MUJAY pathar DIL
liken Pathar pay likhay naam kabi mittay nahi
Yey
Re: Bait Bazi -- July 2007
Ye kon phir sey unhi raastoN pe chorr gaya
abhi abhi to aazaab-e-safar sey nikla tha
"Alif"
Re: Bait Bazi -- July 2007
ab iss say barh kay bhala kya ho ehtiyaat-e-wafa
mein teray shahar say guzron aur khabar na karon
Re: Bait Bazi -- July 2007
**
Nahi miltay ho mujh say tum to sab hamdard hain meray
zamana mujh say jall jaye agr tum milnay aa jaao**
"Wao"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Woh tui jungle say Hawaoon ko chura laata tha
Uss nay sekhay hain Diay ghar mein jalany kab say