Bait Bazi -- July 2007

Re: Bait Bazi -- July 2007

YEH NAA THI HAMARI KISMAT KE WASAL E YAAR HOTA
AGAR AUR JEETAY RAHTEY , YEHI INTEZAAR HOTA

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ik qayamut ki kharashin meray chahray pau sajein
Ik mahshar meray under say utha teray baad

Re: Bait Bazi -- July 2007

dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ye kya k dosron ko sunayin hades-e-ghum
Ik roz khud ko has kay rula dayna chahiay

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ya Rab wo samjhey heiN na samjhein ge meri baat
dey aur dil unko jo na dey mujh ko zubaaN aur

"Rey"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Rootha hoa tha hans tu para mujh ko dekh kar
Mujh ko tu isqadar bhi dilasaa bohat laga

Re: Bait Bazi – July 2007

Lovely :k:

Re: Bait Bazi -- July 2007

Aaja ke abhi zabt ka mosam nahi guzra
aaja ke pahaarroN pe abhi barf jami hey
khusbhu ke jazeeroN sey sitaroN ki hadoN tak
is shehar mein sab kuch hey bas teri kami hey

"Ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007

yun hum say har ghare hai guraizan ye kainat
jisay hamaara haq hee naahin kainaat par

Re: Bait Bazi -- July 2007

ruton k sath dil ki wo haalaten bhi gaen
hawa k sang hawa ki amanaten bhi gaen.

Re: Bait Bazi -- July 2007

na hi dil mein heiN teri chahateiN,na shikayateiN na adawateiN
tou ye kya k aankheiN chhalak pareeN,kabhi ho geya jo tera zikar

Re''

Re: Bait Bazi -- July 2007

**Raat beeti to ginney aabley aur phir socha
kon tha baais-e-aagaaz-e-safar shaam ke baad

**"Daal"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Amal is umer maiN ap ko kia daal hazam ho jaiey ghi :p


dayaar-e-dil ki raat meiN chiraaG saa jalaa gayaa
milaa nahiN to kyaa huaa vo shaql to dikhaa gayaa

"alif"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Abhi khushk buhat hey mosam baarish ho tou sochein gey
hum ney apney armaanon ko kis matti mein bona hey

Ye''

Re: Bait Bazi -- July 2007

ye kya k bethay bethay he thuk gae hon mein
mein nay tu mas'alaa bhi koi hul nahin kiya

Re: Bait Bazi -- July 2007

Aagay Aati Thee Haal-e-Dil Pe Hansi
Abb Kisi Baat Per Nahi Aati..

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007

yun tortee rahtee hon barabar taree yaadain
ainaa mera jism hai pathar taree yaadain

Re: Bait Bazi -- July 2007

Na Tha Kuch To Khuda Tha, Na Hota Kuch To Khuda Hota
Diboya Mujh Ko Honay Ne, Na Hota Main To Kia Hota

'Alif'

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ab kay baraish main to yeh kar-e-ziaa'n hona he tha
apni kachi basteeo'n ko bay-neshaa'n hona he thaa

alif

Re: Bait Bazi -- July 2007

Uss Gherat-e-Naheed Ki Her Taan Hai Deepak
Shola Sa Lapak Jaye Hai Aawaz To Dekho

'Wow'