Re: Bait Bazi – July 2007
‘noon’ sey suna hey blood pressure ka problem ho jaata hey? ![]()
Re: Bait Bazi – July 2007
‘noon’ sey suna hey blood pressure ka problem ho jaata hey? ![]()
Re: Bait Bazi – July 2007
**
Naam aatey hi tera hoNtoN par
phool khiltey heiN lafz ban ban kar
**
Ye sheir bhi hamaara hi hey. banda kuch hosla-afzai hi kar deta hey ![]()
Re: Bait Bazi -- July 2007
Raat bhar usi janib daikhti rahi aankhain
Neend ki pari thi ek dour k sitaray main
"noon"
nice shair mashallah. lijiyay phir aik or noon ap ka BP high kernay k liyay :P. vaisay BP high ho jay to olive oil ka istamal kijiyay :)
Re: Bait Bazi -- July 2007
Na ye gham naya na sitam naya ke teri jafa ka gila kareiN
ye nazar thi pehley bhi muztarib, ye kasak to dil meiN kabhu ki hey
"Ye"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Youn ghalat to nahi chehroon ka tasur bhi mager
Log vaisay bhi nahi jaisay nazer aatay hain
"noon"
ab noon dain gay to tabe eb ki mojoodgi zaroori hai na. :P
Re: Bait Bazi -- July 2007
NegahaaiN botle hain bay-tahasha
mohabbat paagloN ke guftago hey
"Ye"
Re: Bait Bazi – July 2007
Amal Jee.. Aap Ne Rules Main Likha Hai Ke Personal Sher Post Nahi Kerne.. ![]()
Aap Pe Tanqeed Ker Dee Hum Ne.. ![]()
Re: Bait Bazi – July 2007
Amal Jee.. Noon se Nahi ‘Loon’ (Namak) se hojata hai BP ka problem..
![]()
Re: Bait Bazi -- July 2007
YuuN Na Mil Mujh Se Khafaa Ho Jaise
Saath Chal Mauj-E-Sabaa Ho Jaise
'Ye'
Re: Bait Bazi – July 2007
Aaaa…so nice of you Ahmer, thanx for reminding me ![]()
Re: Bait Bazi -- July 2007
*Yeh soch ke ab ghar se nikalta hi nahee hoon
Jab laut ke aaoonga to yeh ghar na milegaa
*
"Alif"
Re: Bait Bazi -- July 2007
**Ye kesi musaafat main hume daal gae tum,
Hum apne hi andar ka safar kaat rahe hian.
-noon-
**
Re: Bait Bazi -- July 2007
**Nahi hay tera Nashy man Ka'ser Sultani k gunband per
too shaheeen hay basaira ker paharoon kee chataon per
**"Rey"
Re: Bait Bazi -- July 2007
raftaa raftaa vo meRi hastii kaa saamaa'N ho gaye
pahle jaa'N phir jaaN-e-jaa'N phiR jaan-e-jaanaa'N ho gaye
"ye"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Yay pehlay sooch lo phir or bhi tanha na ho jana
Usay choonay ki khwahish main, usay panay ki koshish main
Bohot say zakhm hain dil main mager ek zakhm aisa hai
Jo jal uthta hai ratoon main jo lo deta hai barish main
"noon"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Amal Jee.. Noon se Nahi 'Loon' (Namak) se hojata hai BP ka problem..
:)
aray main samjhi shayad "noon" say in ki koi dushmani hai ;) yay to "Loon" ko "noon" keh rahay thay. :P
Re: Bait Bazi – July 2007
Beautiful Sheal :k:
Re: Bait Bazi – July 2007
Aadab arz hai ![]()
Re: Bait Bazi -- July 2007
Nahi ab kisi meiN bhi hosla ke nazer bhi mujh sey mila sakey
wo jo dard bakhshe the aap ne sabhi aa base heiN nigah meiN
ye leejiye "Noon" :D
Re: Bait Bazi -- July 2007
"noon "