Amal
June 29, 2007, 12:58am
2
Re: Bait Bazi -- July 2007
**
Kal dhoop ke meley sey khareedey they khiloney
jo maom ka putla tha, wo ghar tak nahi pohncha
**
"Alif"
Koyal
June 29, 2007, 2:05am
3
Re: Bait Bazi -- July 2007
ab to baandh liya hai safar hi qadmoon say
na mil sakay mujhay manzil to rasta hi sahi
"ye"
Re: Bait Bazi -- July 2007
ye tumhari talkh nawaiya koi aur sah kar dekha to day
ye jo hum mai tum mai nibha hai mery hoslay ka kamal hai
ye
Re: Bait Bazi -- July 2007
Yeh Masa-il-e-Tasawwuf, Yeh Tera Bayaan Ghalib
Tujhay Hum Wali Samajhtay Jo Na Baada Khuar Hota
Re: Bait Bazi -- July 2007
aey ishq a phir koi tajruba karain
dil bholnay laga hai purani kahaniyan
Re: Bait Bazi -- July 2007
Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Ki
Bari Aarzu Thee Mulaqaat Ki..
Re: Bait Bazi -- July 2007
yeh kia k sub say bayan dil ki haltain karni
faraz tujh ko na ayin mohabbatin karni
Re: Bait Bazi -- July 2007
Yeh Theek Hai, Koi Marta Nahi Judai Main
Khuda Kisi Ko Kisi Se Magar Juda Na Karay
Re: Bait Bazi -- July 2007
yon to pathar ki bhi taqdeer badal sakti hai
shart yah hai k dil say tarasha jayay
Re: Bait Bazi -- July 2007
Yeh Aarzu Thee Tujhe Gul Ke Rubaru Kertay
Hum Aur Bulbul-e-Baytaab Guftugu Kertay
Re: Bait Bazi -- July 2007
ye KhizaaN ki zaRd-si shaam meiN jo udaas pai'eR ke paas hai
ye tumhaare ghaR ki bahaar hai isey aa'nsuoN se haraa karo
"wao"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Wo Aye Bazm Main Itna To Mir Ne Dekha
Phir Uss Ke Baad Charaghon Main Roshni Na Rahi
Re: Bait Bazi -- July 2007
yeh kuch lamhay jo guzray teri rafaqat main
na janay kitnay baras meray kaam ayengay
Amal
June 29, 2007, 1:28pm
15
Re: Bait Bazi -- July 2007
**
Ye kon chupke sey tanhaaiyoN meiN kehta hey
merey bagheir sukooN umr bhar nahi milna
**
"Alif"
Re: Bait Bazi -- July 2007
aisa na ho k yeh dard banay dard-e-la dawa
aisa na ho k tum bhi madawa na karsako
Allah karay jahan ko meri yaad bhol jayay
Allah karay k tum kabhi aisa na karsako
Re: Bait Bazi -- July 2007
Aisi Zid Ka Kia Thikana Ke Apna Mazhab Chhor Ker
Hum Huay Kaafir To Wo Kaafir Musalmaan Hogaya
Re: Bait Bazi -- July 2007
Aisi Zid Ka Kia Thikana Ke Apna Mazhab Chhor Ker
Hum Huay Kaafir To Wo Kaafir Musalmaan Hogaya
"wow" say post karna tha
any way
IS
June 29, 2007, 10:48pm
19
Re: Bait Bazi -- July 2007
aisa na ho k yeh dard banay dard-e-la dawa
aisa na ho k tum bhi madawa na karsako
Allah karay jahan ko meri yaad bhol jayay
Allah karay k tum kabhi aisa na karsako
waqt acha bhi aye ga naasir
gham na ker zindgi parhi hai abhi
ye
Re: Bait Bazi -- July 2007
Yun To Ek Phool Ki Patti Se Behel Jata Hoon
Main Machal Jaon Tou Sehra Ka Khilona Chahon..
'Noon'