Re: Timepaas
aap ke walid kaa sher bohat acha hai aur kaafi gehra bhi :k:
Re: Timepaas
aap ke walid kaa sher bohat acha hai aur kaafi gehra bhi :k:
Re: Timepaas
**shukria bahot bahot aapkaa…vaise, is baat se mujeh ek baat yaad aayii:
meri bahen ke ghar meN ek baar ek boltaa huaa totaa na jaane kahaN se aa gayaa. uskaa maalik jab na milaa to bahen ne use paal liyaa. uskii Khaas baat yeh thii k uskii soHbat kaa andaaza ba Khobbii ho gayaa thaa.
uske pinjRe ke paas koi aa kar agar khaRaa ho jaataa thaa to vo usse 3-4 baar kahta “haTo!” jab koi na haTtaa to vo gaaliyaan detaa Hyderabadi aurtoN jaisii…yeh teen chaar lafz kahtaa thaa ek saaNs meN…maatii milaa, paagal, ulloo, kuttaa
**
Re: Timepaas
2 shair mil ker yaahaan kaun si ghazal parh rahain hain :D
agar kahain to isay shor-a-gap shap main post ker dun :@:
Re: Timepaas
to yeh gaaliyaan sikhaayein kis nay ![]()
Re: Timepaas
agar kahain to isay shor-a-gap shap main post ker dun :@:
hain nahi to mein to ghazal nahi parh rahi ;)
Re: Timepaas
usii ne jis ne iske maalik ko sikhaayii thii ![]()
Re: Timepaas
ab tum ney apnay asar sey usey shair bana dena thaa naa
Re: Timepaas
**banegaa…abhi to uskaa “qaafiya tang” hai…jab khulegaa to aisaa koi she’r kahegaa:
are buddoo kii ammaN, yeh to bataa
tere ulloo ke abba kaa naam kia hai?**
Re: Timepaas
Kaya hser ho gaa totay ki zubaan sey
Re: Timepaas
kabhii hamaare ghar aaiye apnii ulloowaayin bibi ko saath le kar tab dekhiye hamaare ulloo miyaaN kii “qaseeda goii”
![]()
Re: Timepaas
dosto … ![]()
Re: Timepaas
wa'laikum assalaam Huzoor-e-waalaa? kaise mizaaj haiN? kia hoing?
Re: Timepaas
Canada to mein aati rehti hoon kabhi kabhi ab aaon gi to GS meet karein kaya kayaal hai
mein apnay aqalmand miyaan ko bhi saath laoon gi
Re: Timepaas
Walaikum assalaam Amal ab kaya time pass mein adbi gutagooo ho gi aap jo aaye :p
Re: Timepaas
**waah ji, waah…kia idea hai! zabardast…yes, we may have a GS GTG in Toronto ![]()
miyaauuN Ji ko laayeNgii yeh to good news hai par vo bechaare kia aapkii maujoodgii emn bol paayeNge?
**
Re: Timepaas
woh abhi bhi nahi bol paatey to tab kaya bolein gay ![]()
Re: Timepaas
Khalil bhai kesey mizaaj heiN? Kafi dinoN ke baad aap ke darshan ho rahey heiN ![]()
… khalil bhai heiN to adbi guf’tugu to honi hi hey… chalye kuch zaeqa badalney ke leeye hi sahi ![]()
Re: Timepaas
ab mein adab se sofay per beth ker boloon gi ji wah wah kaya baat hai ![]()
Re: Timepaas
**miyaaN, bas Allah ka karam hai…zinda ba dast e murda huN … ab iskaa kia matlab hai maiN nahiiN jaantaa ![]()
aji mere hote to gaali galauj [tote kii zabaanii] aur maaraa maarii [sher maaraana sher o shaairi meN] hii rasm e maHfil hogii ![]()
**
Re: Timepaas
ab mein adab se sofay per beth ker boloon gi ji wah wah kaya baat hai :@:
Lekin alert beitthye ga kiuNke mehfil ka mood kisi waqt bhi tabdeel ho sakta hey... :)