Timepaas

Re: Timepaas

:yawn:

Re: Timepaas


2 sher nahi :( Shayar meaning poets meaning KKF and Shazia Arif ;)

Re: Timepaas

abhi to Pak mein 9:15 pm hoay hain and abhi sey neend jaago jaago abhi to subh hoi hai :smiley:

Re: Timepaas


vo to mujhe pataa thaa...maiN ne to jana boojh kar shaa'ir ke she'r ko sher banaa diyaa...daad deN :D

Re: Timepaas

meri subah aaj 5:30 A.M. ki hoi hoi hay
ar oper se soya b 3 baje k qareeb tha :smack:
pir oper se driving :smack2:
ar pir wapis a k office :eek:

Re: Timepaas

You must be a zombie by now :smiley:

Re: Timepaas

Daad kis baat per dein sher ko shayar bananay per yaa shaayar ko sher bananay per :D

Re: Timepaas

mujhe b yai lag raha hay :@:

Re: Timepaas


donoN meN se koi ek yaa donoN ko hii samajh kar de deN bas isse pahle k daad baasii ho jaaye...garma garam daad i like :D

Re: Timepaas

to phir zombies to jaagtay hain naa flooding ke liye ;)

Re: Timepaas

UZ and hamnawaa boling
Wah wah kaya baat hai KKF ki saari faakhtayein ur gayein :D

Re: Timepaas


waah waah...kia daad di..sar chakraa gayaa...subHaan Allah :) merii to "tootii uR gaii"...tootii uRnaa moHaavarah sunaa hai na? ya'nii "tootii [bird] uR jaanaa" ke matlab huaa "hosh uR jaanaa ya'nii hosh rubaaii" :D

Re: Timepaas

don't worry meri urdu bohat achi hai KKF saarey muhawray yaad hain :D to aap ney faakhtaayein urayein theen and mein nay aap ki tootiyaan uraa dein :D

Re: Timepaas

woi tu kar raha hon
ar abi mujhe outsider b jana hay night walk k laiye :@:

Re: Timepaas

Dieting chal rhai hai yaa date per jana hai ;)

Re: Timepaas

weight maintain rakhne ki koshish
wo mere sath date per jati nai :@:

Re: Timepaas

akalmand maloom hotee hai. :D

Re: Timepaas

nai ham dono bohat sharif hain :barbie:

Re: Timepaas

:omg: Good one EB

Sachi aap kaa taaluq shareef khandaan sey hia kaya :chai:

Re: Timepaas


**waah ji, waah...maashaa Allah, aapkii urdu to urdu-e-mu'alla hai...subHaan Allah kia kahne...isii "tootii-e-be_zabaaN" par mere vaalid kaa yeh she'r mulaaHizah kijiye:

mire ghar meN uR ke Khud aa gaii 'ajab ek tootii-e-be_zabaaN
na sunaaye kuchh k huaa thaa kia, na bataaye kuchh k yeh thii kahaaN!**