Re: Timepaas
Daant worry meray kaan khary hain suntay acha hi hain ![]()
Re: Timepaas
Daant worry meray kaan khary hain suntay acha hi hain ![]()
Re: Timepaas
Yani ke aap zabardast ke zinda hian and kisi naa kisi ko gaali galoch denay kaa dil ker raha hai
Re: Timepaas
Khalil bhai matlab ki zaroorat nahi…hum pehley kab aap ki baateiN samajhtey heiN ![]()
Re: Timepaas
Amal bhai
aap ney aaj chekha maar diya
OK I 'll catch u later
Toodles ![]()
Re: Timepaas
**tab Theek hai…mere Haq meN chacha Ghalib bhii farmaa gaye k:
bak rahaa huN junuuN meN kia kia kuchh
kuchh na samjhe Khuda kare koii**
**meraa nahiiN…“tote” kaa dil kartaa rahtaa ahi…isii liye, maiN tota se savaa neze kii dooriii par rahtaa huN
magar vo hai bahooot cute aur baqaul-e-Ghaalib hii:
gaaliyaan khaa ke bhii be_maza na huaa**
Re: Timepaas
To yeh tota hai kaun yeh to batayein;)
Re: Timepaas
Khalil bhai is ka matlab hey ke chacha Ghalib ko pataa tha ke unka bhateeja khoob naam roshan karey ga unka ![]()
Re: Timepaas
bataayaa to thaa…na jaane kahan se uR ke aa gayaa ![]()
Re: Timepaas
**han na…vo ek gaanaa bhii likh kar gaye the jise Javed AKhtar saaHib ne churaa liyaa:
hamaaraa bhateejaa baRaa naam karegaa
baRaa ho ke dekho aisa kaam karegaa**
Re: Timepaas
Khalil bhai aap to universally (in)famous shakhsiat heiN…kitney barrey barrey logoN ko aap ney kitni buri tarha mutaassir kia hey ![]()
Re: Timepaas
**voii toooooooooo!!!
badnaam hoNge to kia naam na hogaa? ;)**
Re: Timepaas
Khalil bhai kabhi koi sahi kaam bhi kar liya kareiN ![]()
Re: Timepaas
**haN sahi kahaa…meraa lunch Khatm ho gayaa…mujeh ab kaam karnaa chaahiye taa k kah sakuuN maHfil meN seenaa Thok kar k:
maiN bhii Halaal kii khaataa huN, alHamdolillah ![]()
take care bro…iA will see u shaam meN…Allah Haafiz :)**
Re: Timepaas
Allah Hafiz Khalil bhai ![]()
Re: Timepaas
Assalam-o-alaikum koi hai yahaaan ![]()
Re: Timepaas
main hoon na ![]()
Re: Timepaas
salaamaat…kaisi haiN mastooraat-e-Timepass?
Re: Timepaas
fakhta neechay utra ![]()
Re: Timepaas
nai nai…maiN to abhii oopar hii huN ![]()
Re: Timepaas
Subah ho gayee aur
ka duar daura hai. :cobra: