Timepaas

Re: Timepaas


w salaam...kia Haal haiN? Khaatir madaaraat se fursat mil gaii? hamaare liye aur Haazireen e maHfil ke liye kiya kiya pakwaan laayii haiN? :D

Re: Timepaas

jo pakwaan wo laeiN heiN wo sardi meiN boha zor sey lagey ga :D

Re: Timepaas


yeh "barf ke gole" pakwaan kab se ho gaye? :D

Re: Timepaas

"Jo chaahey "UZ" ka husn-e-karishma-saaz karey" ... :D

Re: Timepaas


**waah! kia baat hai UZ Bhabhi ke...vaise koftaa bhii kabhaar banaa deN jo 'allamah Iqbal ke ek she'r kii pairody meN maiN ne kahaa thaa...aisaa ho:

na pakaa pakaa ke chhipaa use, na chhipaa chhipaa ke pakaa use
tiraa kofta hai vo kofta jo chhanak rahe haiN plate-e-niyaaz meN :D**

Re: Timepaas

:chai:

Re: Timepaas

:lahol: Khalil…sara maza hi kharaab kar dia :frowning:

Na chupa, chupa ke rakh isey ke ye aaena hey wo aaena
jo shikasta ho to aziz-tar hey nigaah-e-aaena-saaz meiN

Re: Timepaas

Aek cup merey leeye bhi letey aana tha :frowning:

Re: Timepaas

asal main mai ye kehna chahta tha k mera chai pine ko dil kar raha hay

Re: Timepaas

Koftay wala shair acha tha.. zara hut kay.. me likey

Re: Timepaas

Hmmm... abhi fil'haal koi khaatooN-e-khaana to idhar nazar nahi aa raheiN...ya to aap khud himmat kareiN...ya phir wait :)

Re: Timepaas

likey what? sheir ya kofta???? :D

Re: Timepaas

khud himat karne ko dil nai kar raha cz its 1:10 A.M :@:

Re: Timepaas

To phir to sabr-o-ta'haamul ka muzaahera hi kia jaa sakta hey at the most :D

Re: Timepaas

Shair.. kofta bhee acha huta hay waisay.. uss main huddi nahi huti tu ussay daikh ker bakra itna yaad nahi aata :)

Re: Timepaas

aaj bas wese e dil kar raha hay wese main kam kam e pita hon chai

Re: Timepaas

Aur meiN kam, kam hi chorrta hooN chaey :)

Re: Timepaas

I am back :D for a while
Mein ney kaya pakaya poora weekend pakati hi and aj beemar bachon ley ker doc ke pass :D

Re: Timepaas

what happened to kidz UZ? :(

Re: Timepaas

wese zaida nai pini chiaye