kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoN
tu phirey qarya ba qarya ku ba ku mere liye

maiN to ho jaoN kisi thehre samndur ki tarah
tu bahe darya ba darya ju ba ju mere liye ….

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

darya kabhi na kabhi samandar se mil hi jata hai

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

lekin darya ko samandar tak aana paRta hai

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

darya ki majboori hai

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

chahat main kia duniya dari, ishq main kaisi majboori

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

ishq mein majboorian na hotin tosohni kyon kacha ghara ly k nikalti

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

sohni ko pata thoRi tha ke wo kacha ghara hai

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

jab pata chal gya to kon sa us ne wapsi ka ticket katwa lia tha

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

beech darya main aage baRhan aur peeche lotna ek hi baat thi

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

ishq ne majboor kia isi leay agay barhi

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

bechari. agar aaj k daur main hoti aur Ravi phalagna paRta to shayad bach jati. Chenab to waise hi doonga hai

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

KAHA THA NA DEN KA LEN AATA HY :halo:

ab bhugten beth k :hehe:

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

Den ka len? ye kia hota hai?

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

doonga hai laikin khushk hai

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

Ravi to khushk tha hi, ab kia chenab bhi

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

agar hum aur hamari hakomtein isi tarah soti rahein to sab darya khushk ho jaein gay

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

AChay WiChaar nhii hyn Aap k…:hmmm:

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

mere nahin shayar ke wichaar hain.

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

To Sha`ir ny konsa teer maara hy…?:hehe:

Re: kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoon

pata nahin maar bhi lia ho.