Mujhe jo kuch bhi kehna thaa abhi mein keh nahe paaya
Meri tehreer ki zadd mein abhi tu kuch nahe aaya
Abhi woh karb likhna hai jissay mehsoos karta hoon
Abhi woh khwaab likhnay hain jo in ankhoon mein paltay hain
Mujhe un ko bhi likhna hai jinhain mein dhoond na paaya
Abhi woh log likhnay hain jo khoo kar haath maltay hain
Abhi woh ashk likhnay hain kabhi jo keh nahe paya
Meri tehreer ki zadd mein abhi tu kuch nahe aaya
Abhi mausamoo ki shokheyaan tehreer karni hain
Uthaanay hain abhi dariya se mujh ko pyas ke pehray
Abhi tu khushk pairoon per mujhe rim-jhim bhi likhna hai
Kaheen pe dhoop likhni hai kaheen pe tairgii chaaya
Meri tehreer ki zadd mein abhi tu kuch nahe aaya
Abhi tu mujh ko likhni hain kisi ki reshami zulfain
Kisi ki surmageen palkain kisi ki aankh ka kaajal
Kisi ki un-kahi baatain macha dain dil mein jo hal-chal
Abhi woh sab bhi likhna hai jo mera ishq kehlaaya
Meri tehreer ki zadd mein abhi tu kuch nahe aaya
Abhi to woh safar likhna hai jo darpaish hai mujh ko
Abhi tu tum ko apni pyas ka sehra dikhaana hai
Abhi tu hijar ki likhni hain saari maatami raatain
Abhi tu aise lamhay bhi tumhein aa kar sunaanay hain
Ke jin se ashk aankhoon mein magar is dil ko behlaaya
Meri tehreer ki zadd mein abhi tu kuch nahe aaya
Abhi se sath choray ja rahay ho kis leye Janaan
Abhi tu khul ke dil ka haal bhi tum ko na batlaaya
Meri tehreer ki zadd mein abhi tu kuch nahe aaya …
*
*
Ek raah per saari umar chalay
Ek dojay ko na samajh sakay
Jeevan ka safar anjaan safar
Be-khwahish be-araam safar
Jeevan ke kisi bhi dukh sukh mein
Woh mere sath shareek nahe
Hum donoo mein ek rishta hai
Per jazboon ki tehreek nahe
Jaari hai magar anjaan safar
Mein sochta hoon ek din yunhi
Woh mujh se juda hojayegi
Ya pehlay mein mar jaunga
Ya shaayad woh mar jayegi
Phir log kahainge in ka
Yeh rishta kitna sacha thaa
Per kis ko khabar saara jeevan
Woh tanha thee
Mein tanha thaa ...
*
*
Dua ka toota huwa harf sard aah mein hai
Teri judaee ka manzar abhi nigaah mein hai
Tere badalne ke bawajood tujh ko chaaha hai
Yeh aitraaf bhi shaamil mere gunah mein hai
Azaab dega tou phir mujh ko khwaab bhi dega
Mein mutmain hoon mera dil teri panaah mein hai
Jissay bahar ke mehmaan khaali choor gaye
Woh ek makaan abhi tak makeen ki chaah mein hai
Yehi woh din thay jab ek doosray ko paaya thaa :(
Hamaari salgirah theek ab ke maah mein hai
Mein bach bhi jaoon tau tanhaee maar dalegi
Mere qabeelay ka har fard qatal-gaah mein hai
*
*
Suna hoga bahut tum ne
Kaheen aankhoon ki rim-jhim ka
Kaheen palkoon ki shabnam ka
Parha hoga bahut tum ne
Kaheen lehjay ki baarish ka
Kaheen saagar ke ansoo ka
Magar tum ne kabhi hamdam
Kaheen dekhay kaheen parkhay
Kisi tehreer ke aansoo
Mujhe teri judaee ne
Yehi mairaaj bakshi hai
Ke mein jo lafz likhta hoon
Woh saray lafz rotay hain
Ke mein jo harf bunta hoon
Woh saray bain kartay hain
Mere sang is judaee mein
Mere alfaaz martay hain
Sabhi tareef kartay hain
Meri tehreer ki lekin
Kabhi koi nahe sunta
Mere alfaaz ki siskii
Falak bhi jo hila daalay
Mere lafzoon mein hain shaamil
Ussi taaseer ke aansoo
Kabhi dekho mere hamdam
Mere tehreer ke aansoo ...
*
Woh aksar mujh se kehta thaa
Muhabbat cheez hai kya ?
Muhabbat naam hai kis ka ?
Aur phir hansa karta thaa
Aaj woh barsoon baad mila tau
Us ke chehray per
Muskuraahat ki jagah udaasi thee
Gham se woh nidhaal thaa
Mein ne sabab poocha tau
Woh bola
Muhabbat zindagi hai
Jo ek din chor jaati hai
Muhabbat naam hai kho denay ka ...
Ghannay darakht ke neeche sula ke chor gaya
Ajeeb shaks thaa sapnay dikha ke chor gaya
Yeh ujjra ghar tu ussi aik ki nishaani hai
Jo apne naam ki takhti laga ke chor gaya …
*
*
Tal'luqaat tarq honay thay
Kissay yeh maloom thaa
Humein tum se bicharna thaa
Kissay yeh maloom thaa
Jin aankhoon mein raqsaan theen muskurahattain
Un hi ko maatam karna thaa
Geetoon ko nohoo mein badalna thaa
Kissay yeh maloom thaa
Wadoon ki dewaroon mein shagaaf parna thay
Qasmoon ke dhaagay yunhi tootna thay
Tumhein in se mukarna thaa
Kissay yeh maloom thaa :(
*
Saaray jahaan ki khushiyaan us ka naseeb kar day
Hansta rahay sada woh, ussay khush-naseeb kar day
Kabhi dil us ka na tootay, kabhi chout woh na khaaye
Us ko wafa ke Ya Rab, itna qareeb kar day
Us ke laboon pe Ya Rab hamesha muskurahattain hoo
Qismat mein us ke hans’na mere Habeeb kar day
Chal kar jahaan bhi jaaye phooloon ke raastay ho
Manzil ki har khushi us ke qareeb kar day
Dil mera ab tak kahaan mut’mainn huwa hai
Us ke dukhoon ko Ya Rab mera naseeb kar day …***
Aaj bhi us ki aankhoon mein raaz wohi thaa
Chehra wohi thaa … Chehray ka libaas wohi thaa
Kaise us ko Bewafa keh doon yaaroo
Aaj bhi us ke dekhne ka andaaz wohi thaa …