Khud ko teri yaadoon se behla kar roee
Mein rait per teri tasveer bana kar roee
Duniya ki raunaqoo mein jab na behla yeh dil
Kabhi khud ko kabhi tujh ko khilona bana kar roee
Ajeeb fitrat dekhi mein ne ay insaan teri
Kabhi apni kabhi dojay ki khushi jala kar roee
Hadd se barh kar jab sataya gham-e-dauraan ne
Shab bhar teri yadoon ko seenay se laga kar roee
Sawan ki bheegi bheegi bochaaroon mein bhi
Sokhi palkoo pe ashkoo ko saja kar roee
Barsoo saath chaltay rahay hum ajnabi ban kar
Aksar woh mere ghar mein us ke ghar ja kar roee
Pholoon ki aarzoo mein milay zakhm kharoon se
Har bahaar mein un zakhmoon ko sehla kar roee
Tanhaee mein aksar khush rehti hai 'Rabi'
Jab bhi roee teri bazm mein aa kar roee ...
nazre ki nazakat ko ham pehchan na sake,
aapki shararat ko ham jaan na sake,
kab se khade the raho me aapki,
koi le gaya tumeh! ham dekhte hi reh gaye.
*
Be-nishaan jazeeroon per
Bad-gumaan shehroon mein
Be-zubaan musaafir ko
Jis taraf bhi bhatka dain
Raastoon ki marzi hai ...
Rok lain ya barhnay dain
Thaam lain ya girnay dain
Wasl ki lakeeroon ko
Torr dain ya milnay dain
Raastoon ki marzi hai ...
Ajnabi koi laa kar
Hamsafar bana daalain
Saath chalne waaloon ki
Raakh bhi urra daalain
Ya musafattain saari
Khaak mein mila daalain
Raastoon ki marzi hai ...
Ek tere rooth jaane se
Kisi ko kuch nahe hota
Phool bhi mehaktay hain
Rang bhi damaktay hain
Suraj bhi nikalta hai
Taaray bhi chamaktay hain
Lekin itna zaroor hota hai
Ek tere rooth jaane se
Koi hans'na bhool jaata hai ...
Kabhi socha hai ... ?
Hamare rishtay ka naam kya hai ?
Muhabbat, zaroorat, khwahish, junoon, Ishq
Ya
Woh rishta jo
Aasman ka zameen se hai
Barish ka sehra se hai
Haqeeqat ka khwaboon se hai
Din ka raat se hai
Yeh kabhi ek dosre se mil nahe paatay
Lekin ek dosre ke baghair adhoray bhi hain
Shaayad
Aisa hi kuch rishta
Mera aur tumhaara bhi hai ...
Dil ke san’naaton mein rehne walay tanha tum hi nahe
Tanhaee se batain karne walay tanha tum hi nahe
Is ishq ne barbaad kia hai har shaks ko
Is ishq mein bikharne walay tanha tum hi nahe
Kehnay ko tu faqat ek dil hi toota hai
Apna sab kuch lutaanay walay tanha tum hi nahe
Shab-e-tanhai ki daastan ek si hai sab ki
Andheroon mein rehnay walay tanha tum hi nahe
Aisa lagta hai aik saza ho zindagi meri
Is qaid mein rehnay walay tanha tum hi nahe
Is shehar mein aur bhi bewafa hain ‘Amir’
Dar dar bhataknay walay tanha tum hi nahe …
Woh kaisa shaks hai
Har roz saza deta hai
Phir hansaata hai itna ke bhula deta hai
Kabhi jo ro day tu mujh ko bhi bhool jata hai
Aur phir bhool ke mujh ko bhi rula deta hai
Is se poochoon ke bata kis se muhabbat hai tujhe
Naam sargosheyoon mein mera hi suna deta hai
Khud hi kehta hai na dohraoo puraani yaadain
Mein na dohraoon tu phir khud hi suna deta hai
Khud hi likhta hai ke jazbaat mein hulchul na karo
Aur phir khud hi aik naee aag laga deta hai …
Woh milta tu yeh kehtay
Ke is ke bin nahe
Meri kuch haqeeqat hai
Aur phir adhoori sab
Meri masoom khushiyaan hain
Woh milta tu yeh kehtay
Ke jab se woh gaya hai
Mera kuch bhi nahe hai
Aur jo bhi thaa mera pehlay
Woh sab us ka hogaya hai
Woh milta tu yeh kehtay
Ussay hi dhoondnay niklain
Mere lab ki sab hi duaaein bhi
Ussay hi saamnay chaahain
Meri aankhain ab har pal hi
Woh milta tu yeh kehtay
Woh shaayad kuch nahe hoga
Sehar ko, shaam ko, shab ko
Sou us ke pur-jeevan mein
Ab tu kuch nahee baaqi
Woh milta tu yeh kehtay …*
Ajeeb yeh wehshat-e-dil hai
Is bebasi ko kya naam doon
Mein ne har pal jis ki justujoo ki
Har lamha jis ko toot ke chaaha
Aaj woh ek pal ko hi sahi
Haan sirf aik pal ko mera hona chaahata hai
Aur mein apni anaa ke za’em mein
Ussay hamesha ke leye kho rahi hoon
Kyon ke mujh mein shaayad hausla nahe
Kisi aur ke khwaboon ko
Kisi aur ki aankhoon se noch kar
Apni aankhoon mein saja loon
Shayad apni qismat se lartay lartay
Mein thak chuki hoon
Phir jo mere hissay mein hi nahe
Ek pal ke leye hi sahi
Kaisay ussay apni taqdeer bana loon
Aakhir kaisay …
*
Woh Lamhay jo beet jaatay hain
Laut kar tu nahee aatay
Per aisa kyon lagta hai
Ke aanay wala har lamha
Wohi khushi wohi mussarrat
Mere aanchal mein laa ke bhar dega
Jo mein ne khud hi khoo di thee
Jab tum ne mujh se poocha thaa
Kya mein apni zindagi mein se
Chund lamhay tumhare naam kar sakti hoon
Aur mein kuch na bola thaa
Per ab ki baar bolonga
Agar aanay wala pal
Aanay wala lamha
Yehi sawal mere samnay laata hai
Jab tum chund lamhoon ko
Mere naam karne ka poochoge
Mein zaroor bolonga
Tum chund lamhoon ki baat karte ho
Mein tu apni saari zindagi
Tumhare naam kar chuka
Baghair tum se poochay
Per Lamhay laut kar nahe aatay … *