~ Intekhaab-e-Saahil ~

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

Thanks Aryaan

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

:slight_smile:
nice

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~


*
Meri aankhoon pe marta thaa
Meri baatoon pe hansta thaa
Na jaane shaks thaa kaisa
Mujhe khonay se darta thaa
Mujhe jab bhi woh milta thaa
Yehi har baar kehta thaa
Suno ...
Agar mein bhool jaaoun tau
Agar mein rooth jaaoun tau
Kabhi waapis na aoon tau
Bhula paoogay yeh sab kuch
Yunhi hanstay rahoge
Yunhi sajtay rahoge
Yehi baatain hain bas us ki
Yehi yaadain hain bas us ki
Mujhe bas pata hai itna
Mujhe woh pyar karta thaa
Mujhe khonay se darta thaa ...

*

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

:)

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

Bohat hi khoob** Arif**..

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

Humein pata hai ke
Hum ne kitna sambhal ke dekha
Naee aur anjaani reh-guzar per chal ke dekha
Hazaar rasta badal ke dekha
Magar meri jaan …
Har aik rasta tumhari jaanib pallat gaya hai
Tamaam naqsha ullat gaya hai
Aur is safar mein
Wujood zakhmoon se att gaya hai …

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

:hugz:

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~


**
Phir chaltay chaltay Wada-e-deed us ne kar liya
Phir uth khara huwa wohi Roug Intezaar ka ...
**

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

*
Woh kehti hai
Batao be-sabab kyon rooth jaatay ho ?

Mein kehta hoon
Zara mujh ko manaoo ... Acha lagta hai

Woh kehti hai
Mera dil tum se aakhir kyon nahe bharta ?

Mein kehta hoon
Muhabbat ki koi hadd hi nahe hoti

Woh kehti hai
Batao ... Mein tumhein kyon bhaa gaee itna ?

Mein kehta hoon
Meri Jaan ... Hadsay tu ho hi jaatay hain

Woh kehti hai
Achanak mein tumhein yunhi rula doon tau ?

Mein kehta hoon
Mujhe dar hai ke tu bhi bheeg jaayegi

Woh kehti hai
Batao ... Barishoon ki kya haqeeqat hai ?

Mein kehta hoon
Ke yeh tu badaloon ki aankh roti hai

Woh kehti hai
Tumhare khwaab saare kyon adhooray hain ?

Mein kehta hoon
Meri Jaan ... Tum inhain takmeel de do ...

*

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

WOW
i loved it afri bahi

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

Dard ne sab nishaandahi kar di
Chup gaye thay wagar na hum tum mein
Ek Muhabbat se ek Judaee tak
Baarishoon ki alag kahaani hai
Hum ko jo kuch mila hai duniya mein
Sab tumhaara karam hai Mehroomi
Tere ghum ki udaas shamoon ne
Aik pal bhi humein rihaee na di
Aaj dekho ke kis tarah hum se
Gham-zada log pyar kartay hain …

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

Thank you my cute little sister :)

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

**
Wohi likhnay parhnay ka shauq thaa … Wohi likhnay parhnay ka shauq hai
Tera naam likhna kitaab per … Tera naam parhna kitaab mein …

**

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

nice^

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

Ending my day, with this one ... !

Tu meri aankh ka woh aansoo hai
Jis ne mubham keye hain sab manzar
Jis ne neendain chura leen aankhoon se
Jo ke atka huwa hai palkoo per

Jis ke dam se dhuwaan hai seenay mein
Jis ki aatish jalaaye jazboon ko
Jis ki qurbat bani hai ek soozish
Jis ne zakhmi kiya hai nazroon ko

Tujh ko ehsaas kab … Ke is dil ke
Kitne jazbay luttay hain raahoon mein
Kitne safhay pallat chuki hoon tere
Kitne kaantay chubhay hain saansoon mein

Tu mere dard se nahee waaqif
Tere dil ka zeyaa huwa hi nahe
Mein ne chaaha parstishoon mein tujhe
Tujh ko is ka gumaan huwa hi nahe

Tu jo na-aashna hai ab mujh se
Mujh se kitni kahaaneyaan theen teri
Kitni subhain karengi yaad mujhe
Kitni raatain nishaneyaan theen teri

Ab se pehlay magar … Oh harjai
Kitna bechain thaa tu mere bin
Tu jo mujh mein sama gaya thaa agar
Mein bhi kuch na rahi thee tere bin

Kis ko maloom thaa ke qismat mein
Tum se mil kar juda bhi hona thaa
Tu jo kehta raha hai jaan mujhe
Mujh se tu ne khafa bhi hona thaa

Ab tu aise lagay hai … ke jaisay
Mujh se kitni adawattain hain teri
Jitna yak-ja karoon, yeh bhikhrengi
Raiza raiza rafaqattain hain teri

Tum ko chun’ne lagoon tu barsoon mein
Mere lamhay badalnay lagtay hain
Ho ke manoos mere aadat se
Mere aansoo pighalnay lagtay hain

Tum se bichray magar … Ay Jaan-e-Jahaan
Teri doori sahenge hum kaisay
Teri chaahat agar milli na humein
Haal-e-dil ko kahenge hum kaisay

Tujh ko chaaha hai tujhi ko yaad karay
Dil hai apna magar hai be-qaabu
Tera sehra dikhaee day dariya
Hai meri tishnagi ka yeh jaadu

Tum se mil kar mujhe yeh ilm huwa
Kitna naazuk wafa ka pehlu hai
Mein ne aksar hawa ki aahat mein
Jis ki dastak suni hai … Woh Tu hai …

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

Beautiful Awesome poem

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

http://sphotos.ak.fbcdn.net/hphotos-ak-ash2/hs127.ash2/39671_425765039449_771729449_4536797_8145914_n.jpg

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

http://i54.tinypic.com/29e6sti.jpg

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

zabardast sharing............

Re: ~ Intekhaab-e-Saahil ~

nice