mo'aiyan hona zaroori kyun hey?
varna waqt ka ta'aiyun kaun karegaa?
mo'aiyan hona zaroori kyun hey?
varna waqt ka ta'aiyun kaun karegaa?
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
kya aap karaingey?:aq:
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
^waqt ka ta’ayunn ker ka tou konsa teer maarein gein???:halo:
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
ek teer se do shikaar karna tumko kiuN nahiiN aataa?
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
aapko aata hai kya?:aq:
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
hashmat bhai aap mashallah great urdu daan hain. lagta hai ghalib kah kalam sy gehri dilchapsi hai issi wajah sy kahin kahin aap ki batoon main ghalib ka rang jhalkta hai,
baqi main ny bhi fasri high school main perhi thi balkah perhi kia thi ruta mara tha,
arbi thori thori ati hai. anjreezi thori achi hai thori busri hai wajha batoon meri ustani saara din apna kam karti rahti hti mutlab salai karhai, salaiaan bunana, to hum ko abc kaisi sikhati, baqi salai karhai ustani ko dekh dekh kah khoob seekh li,,,
ab yahan aa kar thori thori spanish bhi samjh aany lagi hai
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
^makhan lag gaya?:halo:
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
aapko bhi lagana hai kya?:aq:
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
fark prhna chahiye kia???
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
makhan lagta kasay hy???
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
aapko nahi pata kya?
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
pata hona chahiyay kia???
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
pata kerna hai kya?
kia tumheN is baat par koii shak hai? ![]()
**salaam Sayyma,
thankoo thankoo thankoo…are nahiiN jii…kahaaN Ghaalib aur kahaaN banda-e-Ghareeb! ya’nii cheh piddi cheh piddi kaa shorbaa…kiuN k:
kahte haiN k “Ghaalib!” kaa hai andaaz e biyaaN aur
merii urdu pe to faqat gumaaN guzre hai ![]()
ari waah, bahooot Khoob! ya’nii maiN aur aap ek hii baTTe ke jaTTe haiN…donoN dasveeN tak raTTaa lagaa ke pas huye
chalo koi gal nahiiN:
'ayaan raa cheh bayaaN? ![]()
achchhii waaliyaaN inglis to maiN noo bhii nai aandiyaaN…![]()
mere gaaoN kii ustaanii jii bhii hoo ba hoo aisii hii thiiN…likhaaii paRhaaii ke bajaaye kaRhaaii nunaaii aur lagaaii bujhaaii meN lagii rahtii thiiN. shukr hai maiN na ustaanii jii aur na hii maulvii saab ke paas jaayaa kartaa thaa…pahlii baar High School meN school kaa muNH dekhaa…bach gaye saafam saaf ustaanii ji aur maulvii saab kii daadaa_girii se ![]()
wow!!! u ko Spaniola aatii haiN…pataa kia Sayyma? merii bhaanjii ke miyaaN ko zabardast aatii hai spanish aur yeh merii raaye hai jise spanish nahiiN aatii lol…vo venezuela meN rahte haiN aur jab jab maiN vahaN jaataa huN vo mujhe bahot impress karte haiN … non stop spanish meN DaaNTte haiN desiyoN ko lol…
tum me ko bataao k:
maar diyaa jaaye yaa chhoR diyaa jaaye
bol teraa saath kia sulook kiyaa jaaye
ko spanish meN kaise kaheNge?
mujhe to bas kuchh kuchh hii aatii hai, jaise:
astamniana
gracious
salada
uno
deuce
tres’
quatro
cinqo
sis
sept
ouit
neuf
deux
right?
Nice talking to you! :)**
kis ne kis par makkhan lagaayaa? ![]()
tum ko lagvaanaa hai kia? ![]()
**haN, kiuN nahiiN? neele thothe kaa injection kaisa rahegaa? **![]()
kia neelay thothay ka injection hy??ya aap ny bnaya hy???
kia neelay thothay ka injection hy??ya aap ny bnaya hy???
to kia maiN banvaa nahiiN saktaa? :o
to kia maiN banvaa nahiiN saktaa? :o
kia aap injction bnwany ka kam shuru kr rhy hn???