KKF
September 22, 2009, 2:08am
1
**salama dosto
yeh interesting game hai. is meN bas yeh karna hai k aapko apne se oopar waale bande ke sawaal kaa jawaab aise andaaz meN denaa hai k vo bhii sawaal hii ho ya’nii sawaal kaa jawaab sawaal meN denaa hogaa. aapke sawaali jawaab kab, kahaN, kaise, kiuN, kidhar, kis ko vaGhaira se shuru hone chaahiyeN, jaise:
meraa sawaal:
aap kia kar rahe haiN
aapkaa jawaab:
kia mujeh kuchh karnaa thaa?
meraa jawaab:
kiuN? kia kuchh bhii nahiiN karnaa thaa?
bas aise hii: so shuru ho jaaiye:
kia aapko jawaab denaa aa gayaa?**
LP
September 22, 2009, 2:29am
2
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
kya aana chahiye tha ?
Dania
September 22, 2009, 3:35am
4
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
kya yahan thread main reply karna zaroori hai? :aq:
KKF
September 22, 2009, 3:44am
5
kiuN zaroori nahiiN hogaa?
KKF
September 22, 2009, 4:38am
7
Can I also participate ?
*haN janaab ba sad shauq magar koshish kijiye k urdu men bhii kuchh kahiyegaa :D *
Entisar
September 22, 2009, 4:44am
8
Kia ye thread urdu k leyi hey ?
P_G
September 22, 2009, 4:47am
9
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
^ urdu main kia qabahat hai ?
Entisar
September 22, 2009, 4:48am
10
tho angreegee may kia koi qubahat hey?
KKF
September 22, 2009, 4:55am
11
Kia ye thread urdu k leyi hey ?
**
meraa iraada to kuchh aisa hii thaa par aajkal jamhooriyat kaa daur hai jo sab dost aHbaba chaaheN kar leN...its ok to use english but plz try to have it in urdu as well**
KKF
September 22, 2009, 4:57am
12
^ urdu main kia qabahat hai ?
**
koi qabaaHat nai janaab :) bismillah kijiye**
KKF
September 22, 2009, 4:57am
13
tho angreegee may kia koi qubahat hey?
**
angrejji meN to har thread men hii iste'maal hai...zaraa urdu par bhi tab'a aazmaaii kii jaaye to kia buraa hai? hehe**
LP
September 22, 2009, 6:20am
14
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
burai ho he kaisey sakti hai ?
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
Haan burai kese hosakti hai? :ASA:
LP
September 22, 2009, 6:46am
16
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
danda dikhaaney ke ijaazat hai kya?:aq:
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
Ijazat q nahi hogi?
Esix
September 22, 2009, 7:23am
18
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
ap ko kis ne kaha ijazat nahi hai :@:
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
Kisi ne kehne ki koshish to ki ba
system
September 22, 2009, 7:35am
20
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
kisi k kehnay say farq parta hay kiya?:|