Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
yad kya dast-e hunar hai ke sanwarta gaya main
usko socha to use yad hi karta gaya main<!-- google_ad_section_end -->
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
yad kya dast-e hunar hai ke sanwarta gaya main
usko socha to use yad hi karta gaya main<!-- google_ad_section_end -->
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
Nikala mujh ko jannat se faraib-e-zindagi de kar
diya phir shauq jannat ka, ye hairani nahin jaati
Yeh
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
yad karne ke siwa aur kar bhi kya sakte hain hum
bhool jane main tujhe nakam hone ke baad<!-- google_ad_section_end -->
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
Deedar ki Adeem kahan Inteha koii
bus aaj k liye usse ji bhar k daikh lo
wao
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
Vafaa ke Khvaab muhabbat ka aasra lay jaa
Agar chala hai to jo kuchh mujhay diya lay jaa
Guroor-e-dost say itnaa bhi dil_shikasta na ho
Phir utth kay samnay daaman-e-iltejaa lay jaa
Alif
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
Uss Se Ik Baar To Roothon Main Usi Ki Maanind
Aur Meri Tarah Se Wo Mujh Ko Mananay Aye
'Ye'
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
Ye bhi adaab hamare hain tumhain kia maloom
hum tumhain jeet k haare hain tumhain kia malom
aik tum ho keh samajhte nahin hum ko apnaa..
aik hum hain k tumhare hain tumhain kia malom
Meem
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
Main Sach Kahoon Gi, Phir Bhi Haar Jaon Gi
Wo Jhoot Bolay Ga Aur La'Jawab Ker De Ga
'Alif'
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
Yeh koi aane ka time hai.. ![]()
Udaas shaamain ujaarr raaste kabhi bulayen to laut aana
kissi kii aankhon mein ratt-jagon k azab aayen to laut ana
mairi wo batain tu jin pe be-ikhtiyar hansta tha khilkhila ker
bicharrne waale mairi woh batain kabhi rulayen to laut aana
Alif
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
:( kaam ker raha tha na :$
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
Ek Ajab Shor Sa Bapa Hai Kaheen
Koi Khamosh Ho Gaya Hai Kaheen
'Noon'
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
Na koii subah-e-tarb hai na koi shaam-e-nishaat
kuch b khulta nahin mujh per ke udaasi kia haii
tu jo darrya hai tou phir torr day sahill saarayy
aey mairi mauj-e-gureizan yeh haya si kiaa haii
Yeh
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
Ye Rung Chehray Ke AUr Khuaab Apni Aankhon Ke
Hawa Chalay Koi Aisi, Bikher Na Jaye Kaheen
'Noon'
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
**Nai rutaiN, nai khwaab haiN or ch ahatooN kay silsilay
Sal-e-no k sang haiN teri gulab rafaqatooN kay silsilay
Kabhi din bhar tujhay soochna kabhi raat bhar hai jagna
Teri yaad hai, maiN hooN or january ki shamooN k silsilay
**
http://www.paklinks.com/gs/images/editor/menupop.gif
** “Yay”**
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
Ye Kaafi Hai Ke Hum Dushman Nahi Hain
Wada'Daari Ka Daawa Kion Karain Hum
'Meem'
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
Manzilein bhi uski thiin raasta bhi uss ka tha
aik main akaila tha, saara jahan usska thaa
saath saath chalney kiii soch bhi uski thii....
phir raasta badalne ka faislah bhi uss ka tha
Alif
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
Abhi Abhi Wo Gaye Hain Magar Ye Aalam Hai
Buhat Dinon Se Wo Jese Nazar Nahi Aaye
'Ye'
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
Ye kaise khwab se jaagi hain ankhain
kissi manzar pe dil jamta nahinn haii..
jo daikho tou har ik janibb samandarr
magar peene ko aik qatra nahinn haii
Yeh
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
Yaqeen To Hai Khulay Ga, Na Khul Saka Bhi Ager
Dar-e-Bahaar Pe Dastak Deay He Jayen Ge
'Ye'
Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008
yeh sajaya sajaya ghur saqi, meri zaat nahi mera haal nahi,,,
ay kaash kabhi tum jaan sako jo is sukh ne azaar dia <!--IBF.ATTACHMENT_51680-->