Bait Bazi...Month of Feb...2008

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

Ye Tasarruf Hai Tera Ya Mera Maiyaar-e-Wafa
Tark-e-Ulfat Per Bhi Tuu Itna He Piaara Kion Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

Yeh ik abrr ka tukra kahan kahan barrsay
tamaam dasht hi pyasa dikhaii dayta haii

Yeh

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

Ye Roz-e-Azal Faisla Ho Chuka Hai
Musarrat Shareek-e-Muhabbat Na Hogi

'Ye'

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

Yaad ki faseelon pe aaj raat bhaari hai
lafz or lehjonn se main ne zaat hari hai

Yeh

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

yohi besabab na phira karo kisi shaam ghar bhi raha karo
woh ghazal ki sachi kitaab hai usay chupkay chupkay parha karo

waoooo

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

wafa ka naam ab bhool kr bhi koi nhi leta..
tere slook ne chounka diya hi zamney ko

Re: Bait Bazi…Month of Feb…2008

wuh keh kushbo0o ki tarhaan phaiLa tha mere char so main osy mehsoos kersakta tha ' choo sakta na tha

alif :naak:

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

Azal say bay simt justuju ka safar hay derpaish panioon ko
Kisay khaber kis ko dhoondta hay meri terhaan rayeegaan samander..

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

Roz Miltay Hain Dareechay Main Naye Phool Mujhe
Chhor Jaata Hai Koi Roz Nishaani Apni

'Ye'

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

Yadon ki goonj dasht-e-muhabat mein ab b hai
Yeh dill gaye dinon ki rafaaqat mein ab bhi hai..

Yeh

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

Yaad To Hongi Wo Baatain tujhe Abb Bhi Lekin
Shelf Main Rakhi Hui Band Kitabon Ki Tarah

'Hay' [Halway Wali]

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

Halaat k qadmon pe qalandar nahin girta
tootay b jo tara to zameen pe nahin girta

Alif

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

Apna Ye Haal Ke Jee Haar Chukay Lut Bhi Chukay
Aur Muhabbat Wohi Andaaz Puraanay Maangay

'Ye'

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

Yeh sheher jahan hum hain, yahan kaun hai apna
yeh baat hii kia kamm hai, yahan beet gayaa dinn

Noon

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

No'Khez Baharon Ki Tabahi Ka Qaseeda
Sookhi Hui Shakhon Pe Likha Dekh Raha Hoon

'Noon'

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

Naam uska likha hai ankhon par
aanso'un ki khataa si lagti haii..
main tumhare baghair b jee lon
yeh dua bad-dua sii lagtii haiii..

Yeh

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

Yuun To Ek Phool Ki Patti Se Behel Jaata Hoon
Main Machal Jaon To Sehra Ka khilona Chahoon

'Noon'

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

Ek Shakhs Ke Kho Jany Ka Darr Kiun Nahee Jata
Yeh Boojh Mery Dil Se Utar Kiun Nahee Jata......
Manzil Pe Paunhach Ke Bhi Ussy Khoona Pary Ga
Yeh Taiy Haiy To Phir Shauk-e-Safar Kiun Nahee Jata.

2 Likes

Re: Bait Bazi…Month of Feb…2008

wc to GS :slight_smile:

hope U will enjoy ur stay here.. :bb:

Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008

Aagay Aati Thi Haal-e-Dil Pe Hansi
Abb Kisi Baat Pe Nahi Aati

'Ye'