Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
**Achanak phir bachaya hai kisi naadeeda hasti ne **
magar kaise hua yeh moajza maloom karna hai
tujhey kuch yaad hai kal kab main tujh ko yaad aaya tha
majhey aye Maa'n ! tera waqt-e-dua maloom karna hai
<!-- google_ad_section_end -->
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Yuun To Kertay Hain Sabhi Ishq Ki Rasmain Poori
Doodh Ki Neher Nikaalay Koi Kohsaaron Se
'Ye'
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
ye iztiraab saa kyaa hai ki muddaten guzariin
tujhe bhulaaye hue terii yaad aaye hue
<!-- google_ad_section_end -->
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Yuun Buhat Hans Ke Mila Tha, Lekin
Dil He Dil Main Wo Khafa Ho Jesay
'Ye'
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
yeh kisayion k rastay bari dour tak gayay hain
jo gaya woh phir na aya meri baat maan jao
"wow"
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
wo dost kai ajeeb tha keh jis ki zaat per
jab aetbar barh gia to ikhtyar ghatt gia
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
uss ka milna he muqaddar me nahi tha apnay
apnay hathon ki lakeeron ko mitata kaisay
"yey"
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
yaad karney ke siwa ab kar bhi kya saktey hain
bhool janey mein tujhey nakaam ho janey ke baad
daal :)
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Dil-e-Muztaar Sey Pooch Aye Ronaq-e-Bazm
Main KHud Aya Nahi Laya Gaya Hoon<!-- google_ad_section_end -->
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
na haaraa hai ishq na duniyaa thakii hai
diyaa jal rahaa hai havaa chal rahii hai
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Ye Bhi Mera Jurm Hai, Baybus To Hoon Bayhis Nahi
Sair-e-Dunya Kitna Jaan'Leva Tamasha Hai Mujhe
'Ye'
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
ye masaa'el-e-tasawwuf ye tera bayan ghalib
tujhe hum wali samajhtay, gar na baada khwaar hota
'alif'
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Uss Ki Aankhon Main Kuch Aisi Hayaa Hai Ya'Rub
Jese Masoom Se Bachay Ki Duaa Hoti Hai
'Ye'
(Ahmer)
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Yun lagta hai sote jaagte auron ka mohtaaj hon main
Aankhein mairi apni hain per in main neend paraai hai
Yeh
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
yeh bala ki inayatain yeh ghazab ki mehrbani
meri khairyat bhi pocho to kisi aur ki zabani
"yey"
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Yunhi shab-e-firaq mein bas aankh lag gaii...
warna hum aisi raat mein soye kabhi na thay
Yeh
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
ya to gardish-e-douraan ko koi kaam nahin hai
ya meri hi qismat main araam nahin hai
'ye'
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Yeh kaisa abar dil pay cha gia
Udasi rooh tak barsa gia
Zara yeh barf ka kehsar tu dekho
Keh jaisay aaina pathra gia
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Abb Dil Main Kia Raha, Teri Yaad Ho To Ho
Ye Ghar Isi Chiragh Se Abaad Ho To Ho
'Wow'
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Wadoon ka ek shahar tha jis se guzar rahay thay hum
aankhain khulin tou duur duur tak wo hi saraab thay...
Yeh