Re: Bait Bazi -- July 2007
ye tabiet hai tu khud azar bun jaye gay hum
charah gar roain gay aur gham khwar bun jaye gay hum
Meem
Re: Bait Bazi -- July 2007
ye tabiet hai tu khud azar bun jaye gay hum
charah gar roain gay aur gham khwar bun jaye gay hum
Meem
Re: Bait Bazi -- July 2007
Mujhe Maloom Hai Uss Ka Thikana Phir Kahan Hoga
Parinda Aasmaan Chhoonay Main Jab Nakaam Hojaye
Ujalay Apni Yaadon Ke Hamaray Sath Rehnay Do
Na Janay Kis Gali Main Zindagi Ki Shaam Ho Jaye
'Ye'
Re: Bait Bazi -- July 2007
yeh teray khat,teri khushbo,teray khwab-o-khyal
mata-e-jan hain teray qol-o-qasam ki tarah
guzishta saal inhain me nay gin k rakha tha
kisi ghareeb ki jori hui raqam ki tarah
"hay"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Haadsay Se Bara Saniha Ye Hua
Log Thehray Nahi Hadsa Dekh Ker
'Ray'
Re: Bait Bazi -- July 2007
roh ki bay sar-o-samani say bahar akar
shayeri apnay lye aik badan chahti hai
"yey"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Ye Uss Ka Tarz-e-Takhatub Bhi Khoob Hai Mohsin
Ruka Ruka Sa Tabassum, Khafa Khafa Aankhain
'Noon'
Re: Bait Bazi -- July 2007
na dunya say na daulat say na ghar abaad karnay say
tasalli dil ko milti hai khuda ko yaad karnay say
"yey"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Ye Udaas Udaas Phirna Ye Kisi say Bhi na Milna
Hai Yun He nahin Ye sab Kuch koi Saniha Tu Ho Ga
"Alif"
Re: Bait Bazi -- July 2007
ashnaa kia ussnay khushion say mujhay
phir jatay jatay ansooan ki dua degaya
"alif"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Us Uduu-E-Jaa.N Ko 'Amjad' Mai.N Buraa Kaise Kahuu.N
Jab Bhii Aayaa Saamane Vo Bevafaa Achchhaa Lagaa
'Alif'
Re: Bait Bazi -- July 2007
abhi zinda ho lekin sochta rehta hon khalwat main
k ab tak kis tamanna k saharay jee lya me nay
"yay"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Yaaron Kisii Qaatil Se Kabhi Pyaar Na Maango
Apne Hi Galay Ke Liye Talavaar Na Maango
'Wow'
Re: Bait Bazi -- July 2007
veeranian dilon ki bhi kuch kam na thin ada
kia dhoondhnay gayay hain musafir khalaoon main
"noon"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Nazar Mila Ke Zara Dekh Mat Jhuka Aankhain
Barha Rahi Hain Nigahon Ka Hosla Aankhain
'Noon'
Re: Bait Bazi -- July 2007
nahi hai rut yeh milnay ki wo mausum aur he hoga
teray anay ki gharyon ka wo alam aur he hoga
"alif"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Ussay Apney Farda Ki Fikar Thii Woh Jo Mera Waqaf-E-Hal Thaa
Woh Jo Us Ki Suba-E-Urooj Thi Wohi Mera Waqat-E-Zawal Thaa
'Alif'
Re: Bait Bazi -- July 2007
anjaan nigahon ki ye manoos si khushboo.........
kuch yad tu parta hai k pahlay bhi milay hain...........
"non"
Re: Bait Bazi -- July 2007
nafs ki anch pay,woh bhi umer bhar rakhna
bara mushkil hai hasti ko muaatbar rakhna
"alif"
Re: Bait Bazi – July 2007
What a gem it is **deadsoul **:k:
Re: Bait Bazi -- July 2007
*Ana-parast hey itna ke har daleel sey pehley
wo utth ke band meri har kitaab kar dey ga
*
"Alif"