Bait Bazi -- July 2007

Re: Bait Bazi -- July 2007

**
Ye neend ki dewi bhi ajab dushman-e-jaaN hey
aaNkhoN se sada door rahey raat gaey tak
paspa huwey tanhai ki yalghaar sey jab bhi
hum shehar meiN aawaara phirey raat gaey tak
**
"Kaaf" (for a change :~) )

Re: Bait Bazi – July 2007

kaantoo'n kii chubhan paye phuulo'n kaa maza bhi dil dard ke mausam mai roya bhii hansa'a bhi

ye :hoonh:

Re: Bait Bazi -- July 2007

yeh bhi adaab hamaray hain tumhain kia maloom
hum tumhain jeet k haray hain tumhain kia maloom

"meem"

plz ab aisay sahir post karain jo "yey" aur "alif" pa na khatma hotay hain

Re: Bait Bazi -- July 2007

mujhe barish ki chaht nai doboya,,,,,
mai pukhta shahr ka kaccha maka'n ho'n.............
"noon"

Re: Bait Bazi -- July 2007

lol

nice shair

Re: Bait Bazi -- July 2007

na tujh ko maat hui na mujh ko maat hui
so ab k dono ki chalain badal k dekhtay hain

"noon"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Naam Bhi Jiska Zubaan Per Tha Dua'on Ki Tarah
Wo Mujhay Milta Raha Na'Aashna-on Ki Tarah

'Hay' (Halway Wali)

PS: Btw Bait Bazi Ka Maza Hi Iss Main Haina Ke Opponent Ke Pass Required Sher Khatam Hojayen :D

Re: Bait Bazi – July 2007

ab halway wali heh kaha say laye :rolleyes:

hamay khud jalaye gi ye hawa, ye jo idhar say guzari hai taizpa teri anjuman kay chiragh hain kay dhuwa huway hain, bujhay nahi

ye :blush:

Re: Bait Bazi – July 2007

Aap Ne Haathi Wali ‘Hey’ Se Suna Dia.. Ghalat :stuck_out_tongue:

Re: Bait Bazi -- July 2007

hua hai tujh say bicharnay k baad yeh maloom
kay to nahi tha, teray saath aik dunya thi

sher khatam nahi huay but "alif" aur "yey" say he chal raha hai aur in alfaaz k sher buhat hain so kuch diff karain

Re: Bait Bazi -- July 2007

Hudd Se Guzar Gai Yahan Rasm-e-Qahiri
Iss Deher Ko Abb Iss Ki Saza Dena Chaheay

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ap Ne Bhi Haathi Wali 'Hey' Se Sunaya :(

Btw I have Place A Sher Wid 'Halway Wali Hey' :)

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ya to har shakhs tazkira karey tera
ya koi bhi hum sey guftugu na karey

"Ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007


*yaad bhi ab ke aya wo jaag uthi hai khawahish bhi
taza dukh aur taiz hawa hai saal ki pehli barish bhi *

"ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ye jhulasti dhoop meiN bhi tujhey jalney nahi de ga
muhabbat ka jo aik abar humara hey terey saath


He''

Re: Bait Bazi -- July 2007

Hum Na Hongay To Bhala Kaun Manaye Ga Tumhain
Yeh Buri Baat Hai Her Baat Pe Rootha Na Karo

'Wow'

Re: Bait Bazi -- July 2007

**Wo gumaan gumaan sa kayas sa,kabhi door sa kahbi paas sa,
Kabhi chandani main chupa howa kabhi khushboon main basa hoa.

-alif-
**

Re: Bait Bazi -- July 2007


atiish baja hai kub say mohabat mai hum faraz
ek bar jub lagi hai to phir kub bujhi hai agg

gaaf :D

Re: Bait Bazi -- July 2007

Go Zara Si Baat Pe Barsoon Ke Yaranay Gaye
Lekin Chalo Ye To Hua Kuch Log Pehchanay Gaye

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007

**
Ye bhi hey tamanna ke usey dil sey bhula deiN
is dil ko magar us ki zaroorat bhi bohat hey
**

"Ye"