Re: Bait- baazi May 2012
Har Ek Pehlu Tera Dil Me Mery Abad Ho Jaye.....
Tujhy Me Is Qadar Dekhon Mujy Tu Yaad Ho Jaye....
Re: Bait- baazi May 2012
Har Ek Pehlu Tera Dil Me Mery Abad Ho Jaye.....
Tujhy Me Is Qadar Dekhon Mujy Tu Yaad Ho Jaye....
Re: Bait- baazi May 2012
**Jane kyuN pairahan pe dhool na thi
Yeh musafat to be husool na thi
**
Re: Bait- baazi May 2012
Ik Raaz Batana Tha, Ik Baat Batani Thi...!
Tumhare Bin Jaana Humein Kuch Acha Nhi Lagta..!!
Re: Bait- baazi May 2012
Tay/ye sy reply kryn,
Aap ny Alif sy start kia hy
Ik Raaz Batana Tha, Ik Baat Batani Thi...!
Tumhare Bin Jaana Humein Kuch Acha Nhi Lagta..!!
Re: Bait- baazi May 2012
**Lagtaa nahin hai dil meraa ujday dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-naa_paayedaar mein
meem/noon
**
Re: Bait- baazi May 2012
sorry :hinna:
Re: Bait- baazi May 2012
**Lagtaa nahin hai dil meraa ujday dayaar mein kis ki bani hai aalam-e-naa_paayedaar mein
meem/noon **
mila to aur bhi taqseem kar gya mujh ko
samaitna theen jisy meri kirchiyan mohsin
Re: Bait- baazi May 2012
meri jaan aaj kaa gham na kar, ke na jaane kaatib-e-waqt ne
kisi apne kal mey bhi bhool kar kahiN likh rakhi hoN masarrateiN
Re: Bait- baazi May 2012
meri jaan aaj kaa gham na kar, ke na jaane kaatib-e-waqt ne
kisi apne kal mey bhi bhool kar kahiN likh rakhi hoN masarrateiN
welcome to the poetry forum. nice she'r indeed.
na hoN chingaariyaaN gardish meN to phir Khoon-e-aadam kia
vo tan murda hai sar se paaoN tak jo dil nahiiN hotaa!!!
Re: Bait- baazi May 2012
Hamre baad nhi ayega unhe aisi CHAHAT ka maza
Wo logon se kahte phire ge chaho mujhe usi ki terah...!!
Re: Bait- baazi May 2012
Haal-e-dil hum bhi sunaatay lekin
jab wo rukhsat hua, tab yaad aaya
Re: Bait- baazi May 2012
***aja kay abee zabat ka mousam nahi guzra*
aja kay abee paharo per berf jami hai
khushbo kay jazero sey sitaro kee hado tuk
**sab kuch hai is sher mein bas tere kami hai
hey/ye
Re: Bait- baazi May 2012
ya sabhi aangan andhairay phaanktay mohsin
ya dia her ghar main jalta aur dunya dekhti
Re: Bait- baazi May 2012
**Yun to kaya chez zindagi mein nahi
jese soche the apney jee mein nahi
ik sahks hai zindagi jesa
or woh shaks mere zindagi mein nahi
noon/ye **
Re: Bait- baazi May 2012
Na ganwao navak-e-neem kash,dil-e-reza reza ganwa diya
Jo bachay hain sang samait lo,tan-e-daaghdaar luta diya
Re: Bait- baazi May 2012
**Is shehar me kis se milain, ham se tu chhuuteen mehfilain
har shakhs tera namam lay, har shakhs deewaana tera
tey/alif**
Re: Bait- baazi May 2012
itni daqeeq shay koi kesay samajh sakay
yazdaan kay waqiaat say ghabra kay pi gaya
Re: Bait- baazi May 2012
Yeh kesa chahaton ka silsila hai
Na tum sai shikayat hai na khud sai gila hai
Zindagi kis mor pai lai aaie hai hamin
Na tum ko pany ki himmat na Khony ka hosla hai.
Re: Bait- baazi May 2012
**haath meraa ai merii parachhaain tuu hee thaam ley
ek muddat se mujhe to suujhataa kuchh bhii nahin
noon
**
Re: Bait- baazi May 2012
neeyat-e-shoq bhar na jaye kaheen
tu bhi dil say utar na jaye kaheen