Bait- baazi May 2012

:salam2:

Mausam-garmaa ka aghaaz hai saath hi aamon kaa interzaar hia :hehe:

Bait baazi sharoo ki jaaye is liye , eik sher hazir hai

Garmi ka roz-e-jang ke kyon kar karun bayan
dar hai ke masl-e-shama na jalne lage zaban

Re: Bait- baazi May 2012

zindagii apnii jab is shakl se guzrii Ghaalib
ham bhii kyaa yaad karenge kii Khudaa rakhte the

Re: Bait- baazi May 2012

**Teri rahon mein baarha ruk kar
Hum ne apna hi intezar kya

Ab na mangenge zindagi ya Rab
Ye gunah humne ek baar kya

kaaf/alif**

Re: Bait- baazi May 2012

kuchh yaadgaar-e-shahar-e-sitamgar hii le chaleN
aayeN haiN is galii meN to patthar hii le chaleN

Che / Noon

Re: Bait- baazi May 2012

***na idhar udhar ki to baat ker bata yeh qafla kion lutta*
**mujhe rahzanon ki khabar nahi tere rahbari se swaal hai

hey/ye


Re: Bait- baazi May 2012

yuuN kis taraH kaTegaa kaRi dhuup ka safar
sar par Khayaal-e-yaar ki chaadar hii le chaleN

Che / Noon :hehe:

Re: Bait- baazi May 2012

**na sard ho sake aatishkade-muhabbat ke
bujhe dilon mein bhee raqs-e-sharar ka aalam hai

hey /ye. :D**

Re: Bait- baazi May 2012

ye kya k ek taur se guzre tamam umr
ji chahta hai ab koi tere siwa bhi ho

Hey / wao

Re: Bait- baazi May 2012

Hum to wo hain jo teri awaz sun kar tere ho gaye,
Wo aur honge jinhain tere dedaar ki hasrat hogi...!

Re: Bait- baazi May 2012

Hashr Mein Kaun Gawahi Meri Dega Sagar
Sab Tumhare Hi Tarafdar Nazar Ate Hain

Re: Bait- baazi May 2012

Na kahin se door hain manzilain na koi qareeb ki baat hai
jisay chaahay uss ko nawaz day ye dar-e-Habeeb (S.A.W.W.) ki baat hai

Re: Bait- baazi May 2012

<!--[if gte mso 9]> Normal/w:View 0/w:Zoom false/w:SaveIfXMLInvalid false/w:IgnoreMixedContent false/w:AlwaysShowPlaceholderText /w:Compatibility MicrosoftInternetExplorer4/w:BrowserLevel /w:WordDocument <![endif]--><!--[if gte mso 9]> /w:LatentStyles <![endif]--><!--[if gte mso 10]> <![endif]--> **yeh udaasi koi hasti hae keh basti keh ujaaR
yeh meri fikr-e-nihaaN hae koi naddi keh pahaaR*

Re: Bait- baazi May 2012

raikhta ke tum hi ustaad nahi ho ghalib
kehtay hain aglay zamany main koi meer bhi thaa

Re: Bait- baazi May 2012

Abhi To Dafan Hain Jazboon Ki Aandhiyan Hamare Seenon Main
Hamara Sabr Totey Ga To Phir Qayamatien Hongii

Re: Bait- baazi May 2012

yun bhi nahi kay meray bulanay se aagaya
jab reh nahi saka to bahanay se aagaya
kuch aur sanpoleay bhi to haqdaar thay zafar
main apnay aap uth kay khazanay sey aagaya

Re: Bait- baazi May 2012

Aik purani rasam hai baqi aaj talak darbaroon mein
chand sey cherey chun detey hain pathar ki dewaroon mein

Re: Bait- baazi May 2012

***aja kay abe zabat ka mousam nahi guzra*
aja kay abe paharo per berf jami hai
khushbo kay jazero se sitaro ke hado tak
**sab kuch hai is sher mein bas tere kami hai

hey/ye****

Re: Bait- baazi May 2012

ye na thi hamari qismat ke wisaal e yaar hota
agar aur jeetay rehtay yehi intezaar hota

Re: Bait- baazi May 2012

Yaad Aen gey Zamnay Ko Misaloon Ki Tarhan
Jasey Bosedha Kitaben Hun Hawalon Ki Tarhan

tay/hay

:hinna:

Re: Bait- baazi May 2012

nazakat naazneenon ke banaye se nahi banti
khuda jab husn deta hai nazakat aa he jaati hai blush