Bait- baazi May 2012

Re: Bait- baazi May 2012

Koi Merey Laboun Pay Bhe La dey.

Wo Duaein Jo Qabool Hoti Hain.......

Re: Bait- baazi May 2012

**Nahein zaroor keh har ajnabi ki baat suno
Har ik sada pe dharakna bhi dil ka farz nahein
Sakoot-e-halqah zanjeer dar bhi kiyun toote
Saba ka saath nibhaana junun pe farz nahein

Noon**

Re: Bait- baazi May 2012

NASHE MI CHUR HUN MI BHI TUMI BHI HOSH NAHI
BARA MAZA HO AGER THORI DOOR SATH CHALO:wub:

CHEY/WAO

Re: Bait- baazi May 2012

***voh hamse khafaa hain, ham unse khafaa hain*
**magar baat karne ko jee chaahtaa hai

hey/ye


Re: Bait- baazi May 2012

yi berangiyan kab tak ey husane rangeen
edhar aa! tujhy eshq mi chur ker dun:wub:

BY AKHTER SHERANI

DAAL/NOON

Re: Bait- baazi May 2012

***Naee rutoon ki himayaat na kar saka hasil*
**ajeeb shakhs hai guzraay dinno ko roota hai

hey/ye****

Re: Bait- baazi May 2012

ham ajeeb tarz k log they ke hamare orr bhi rog they
mi khizan mi uska tha muntazir,ose entzare bahar tha

thi/alif

Re: Bait- baazi May 2012

**ab yeh bhi nahin theek ke har dard mita dein
kuch dard kalejae se lagaane ke liye hein

hey/noon**

Re: Bait- baazi May 2012

na jane konsa aaseb dil mi basta hi :bummer:
k jo bhi thehra vo akhir makan chor gaya

gaaf/alif

Re: Bait- baazi May 2012

**Ab ye mossam mayri payhchan talab kartay hay
May jab ayaya tha to ik taza hawa laya tha

tey/alif**

Re: Bait- baazi May 2012

ashk-e-mizah pe jalwa_gar chaand kii ik kiran bhii hai
paas kii KhalvatoN ke saath door kii anjuman bhii hai

chhoTii HE yaa ALIF se

Re: Bait- baazi May 2012

Her jurm meri zaat se mansoob hua hai Faraz
kia mere siwa shehr main masoom hain saaray :5:

Re: Bait- baazi May 2012

yeh mirii taraf se naseem kah jo vo chaand bar sar-e-baam ho
k yeh aaNkh farsh, qubool agar mirii HasratoN kaa salaam ho!

a she'r by my Dad!

chhoTii HE yaa WAAO se

Re: Bait- baazi May 2012

wo naye gilay wo shikayatain wo mazay mazay ki hikayatain
wo her aik baat pay roothna tumhain yaad ho kay na yaad ho

Re: Bait- baazi May 2012

vo jo ham meN, tum meN qaraar thaa...tumehN yaad ho k na yaad ho
vohii ya'nii va'da nibaah kaa...tumheN yaad ho k na yaad ho!

Re: Bait- baazi May 2012

vo ager mil jae os se yi puchon aik din
vo jo pehly aadmi tha ab khoda kese hua
hey/alif

Re: Bait- baazi May 2012

wo jo lutf mujh pay thay paishter jo karam kay tha meray haal per
mujhay sab hai yaad zara zara tumhain yaad ho kay na yaad ho

Re: Bait- baazi May 2012


aate haiN Ghaib se yeh mazaamiiN Khayaal meN
"Ghalib!" sareer-e-Khaamah navaa-e-sarosh hai

chhoTii HE yaa YE se

Re: Bait- baazi May 2012

***Hum Hai Khamosh To Khamosh Hi Rehne Do Hame *
**Koi Aahat Koi Halchal Hame Awaz Na Dey

daal/ye****

Re: Bait- baazi May 2012

**دل جل رہا ہے زرد شجر، دیکھ دیکھ کر

اب چاہتوں کے بیج نہ بویا کریں گے ہم**