Bait- baazi May 2012

Re: Bait- baazi May 2012

'Har taraf, har jagaah beshumaar aadmi...
phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi'

Re: Bait- baazi May 2012

Aaj uss nay dard bhee apnay alahda kar liyee
Aaj ma roya to maray saath wo roya na tha

Re: Bait- baazi May 2012

udhar tum ne yuN hii tabassum kiyaa
idhar aazmaaish mirii ho gaii

a she'r by my Dad

GAAF yaa YE se

Re: Bait- baazi May 2012

Tum ko kaun thikana dega ?

Khud gharqaab abhi sahil hai ||

Kitni deir laRega akhir ?

Sau gham aur akela dil hai ||

Re: Bait- baazi May 2012

sorry :bummer:
nice sher:k:
"Girte hain sheh-sawar hi maidan-e-jung mein
Woh tifl kya gire jo ghutnon ke bal chala karte hain. "

Re: Bait- baazi May 2012

koii gal nahiiN :slight_smile:
**
na vo shaaKh-e-sabz na barg-e-tar, na vo naKhl-e-shauq zameen par
terii rah_guzar se ab aayii hai yeh naseem kab kii chalii huii**

a she’r by my Dad
**
chhoTii HE** se yaa YE se

Re: Bait- baazi May 2012

ye bhi ehbab ki nawazish hai
kis takalluf se kaam leyte hain
ehtaraman salam kerta hoon
inteqaman jawab deyte hain

Re: Bait- baazi May 2012

ham to soz-e-'ishq hii ko mo'tabar dekhaa kiye
chhoR kar nazzara bas apnii nazar dekhaa kiye

a she'r by my Dad!

KAAF se yaa phir YE se

Re: Bait- baazi May 2012

ye khala hai arsh e bari nahi
kahan paon rakhun zameen nahi
tere dar pe sajde ka shauq hai
jo yahan naheen tou kaheen nahi

Re: Bait- baazi May 2012

"nahiiN nahiiN" na kar k tere isii
nahiiN nahiiN se maiN kahiiN nahiiN

hahaha
**
NOON** se :p

Re: Bait- baazi May 2012

Na koie sunta hay Amjad na Manta hay issay
Hadees-a-Sham-e-Jawanee kahieN to kiss say KahieN

Re: Bait- baazi May 2012

No Giraftar e Mohabbat Pey Khuda Reham Kare
Aj Us Shakhs Ki Pehli Shab e Tanhai Hai

Re: Bait- baazi May 2012

Ye naey mizaaj ka shehar hay yahaN faasly say mila karo
koi haath bhi na milaay ga jo galy lago gay tappaak say

Re: Bait- baazi May 2012

No cheating.. shair start as :

Na milae ga koi hath bhi jo gale milo ge tapak se
Ye nae mizaj ka shehr hai zara faasle se mila karo

Re: Bait- baazi May 2012


yeah..."karo" is radeef and "paRhaa, Milaa, takaa..." qawaafii haiN...Bashir Badr kii 'umdah GhazloN meN se yeh ek hai :)

Re: Bait- baazi May 2012

***kaanpte hont bhiigtii palkeN*
baat adhuurii hii chhoR detaa huuN

ret ke ghar banaa banaa ke “Faraz”
**jaane kyuuN Khud hii toR detaa huuN

hey/noon****

Re: Bait- baazi May 2012

hmmm. May be.... This is how I rem it ...

Re: Bait- baazi May 2012

Nazakat naazneenoon kay bana'ay say naheen banti
Khuda jab husn dayta hai nazakat aa he jati hai

Re: Bait- baazi May 2012

:omg: D6C aaj kitne dino baad ye sher suna hai.

Re: Bait- baazi May 2012

Yeh aap per toh fit nahi ho sakta. :nahi: