Bait- baazi May 2012

Re: Bait- baazi May 2012

***ye jo ek taazah aag bharkii hai*
**is kaa anjaam sochtaa huun main

meem/noon****

Re: Bait- baazi May 2012

edit

Re: Bait- baazi May 2012

Mere liye to wo khanjar bhi phool bun ke utha
Zabaan sakht thi, lehja kabhi karakht na tha

Re: Bait- baazi May 2012

Aisa Lagta Hai, Abh Dil Mera Khone Ko Hai
Varna Dil Kyoon Dhadakta, Saansein Kyoon Rukti

Re: Bait- baazi May 2012

:emmy: ye to Kareena moti per filmaye hue gane ke bol hain from Refugee. Sahi sher posto :asa:

Re: Bait- baazi May 2012

Allah na karey k “nazakat” aa jayee hum main. Fit hona bhi nahi chehyeee :smiley:

Re: Bait- baazi May 2012

Ye khuly khuly sy gesoo inheN laakh tu saNwaary
ye mery haathoN saNwarty to kuch aur baat hoti

hay / yee

Re: Bait- baazi May 2012

Just imagine how Tariq Amin will read this shair :rotfl:

Hazar baar jis per hui hai band shehr e panah
Suna gaya hai wo shakhs shehrzaad bhi tha

Re: Bait- baazi May 2012

Yeh bara zabardast shair kaha aap nay.

Re: Bait- baazi May 2012

**Unn kee ankohon mein lal doray hain
janay raat kiss kay naseeb jagey hain

hey /noon **

Re: Bait- baazi May 2012

tayrey hotey howey mehfil meen jalatey heen chiragh
look keya sada heen soraj ko dekhatey heen chiragh

Re: Bait- baazi May 2012

woh mujh say pehaly appnay sher kah dala tha issi liye edit karna para. :hehe:

Re: Bait- baazi May 2012

Chalo zamane ki khatir ye jabr bhi seh len
Ke ab kabhi jo mile toot kar nahin milna

Re: Bait- baazi May 2012

:k:

Mujhe yakeen to nahi magar yehi sach hai
Mai tere waste umrain guzar sakta hoon
yehi nahi tujhe jeetne ki khawashish hai
Mai tere waste khud ko bhi har sakta hoon

Re: Bait- baazi May 2012


*haaye! tujh se miraa milnaa naseeb kii baat sahii, lekin
kal tujh se bichhaRnaa bhii kahiiN meraa muqaddar na ho jaaye!
*

a fil-badeeh she'r by ME! :D

JEEM yaa YE se

Re: Bait- baazi May 2012

Ye kaarain aur wo kaarain aisa karain waisa karain
Zindagi do dink hai do din main hum kiya kiya karain

Re: Bait- baazi May 2012

Hath bhi jhulse badan bhi be amaan ho kar raha
choR kar mitti banaya, jab gharonda barf ka

Re: Bait- baazi May 2012

*Kaam aa sakeen na apni wafaeen to kya kareen
Eik bewafaa ko bhool na jaeen to kya kareen *

Re: Bait- baazi May 2012


Ice Hotel in Quebec? :D

Re: Bait- baazi May 2012

*niind aa jaaye to kyaa mahafilen barpaa dekhuuN
aaNkh khul jaaye to tanhaaii kaa sahara dekhuuN *