Bait- baazi May 2012

Re: Bait- baazi May 2012

دن رات کے آنے جانے میں
دنیا کے عجائب خانے میں
کبھی شیشے دھندلے ہوتے ہیں، کبھی منظر صاف نہیں ہوتے

Re: Bait- baazi May 2012

Ye Na Puchh k Shikaytain kitni hain Tumse,
Tu bata k Tera koe or Sitam Baqi to Nahi...?

Re: Bait- baazi May 2012

Ishq ne tou sarsari dekha, magar.......
Parh raha hai hijr tafseelan mujhy !!!!

Re: Bait- baazi May 2012

Mujse bicharny ki khawahish hai
Ab k ajab us ki farmaish hai

Re: Bait- baazi May 2012

Hameen smjhao na Mohsin hameen Maloom hai sb kuch
Muhbbat mashwra hoti tu tum se poch kar karty

Re: Bait- baazi May 2012

Koh-e-ana ki barf thi , dono jamey rahey,
Jazbon ki taiz dhoop se, pigla Na tu Na main!

Re: Bait- baazi May 2012

Me Or Mera Khuda Roz Bhool Jatay Hyn..
Wo Meri Khataon Ko, Me Uski Ataon Ko...!!

Re: Bait- baazi May 2012

*wuh aake Khwaab me taskiin-e-iztiraab to de
wale mujhe tapish-e-dil majaal-e-Khwaab to de *

Re: Bait- baazi May 2012

Itna Toota HooN Ke Choone Se Bikhar Jaaoonga
Ab Agar Aur Duaa Doge To Mar Jaaoonga

Re: Bait- baazi May 2012

**janey kis za-um meeN maqtal ko sajeyee tum ho
mujh ko keya qatal karoo gay k mayree saeey tum ho

hay / waow**

Re: Bait- baazi May 2012

Hum Koh Kiske Ghum Ne Maara Yeh Kahani Phir Sahi
Kisne Toda Dil Hamara Yeh Kahani Phir Sahi...

Re: Bait- baazi May 2012

yeh kiya ke sab se bayaaN dil ki haalateN karni
Faraz tujh ko naa aaeeN mohabatteN karni

Re: Bait- baazi May 2012

Kabhi yoon bhi aa meri aankh mein k meri nazar ko khabar na ho
Mujhey aik raat nawaz dey magar phir us kay baad sehar na ho
Wo bara rahim-o-kareem hai, mujhey ye sifat bhi atta karey
Tujhey bhoolney ki dua karoon tu meri dua main asar na ho

Re: Bait- baazi May 2012

^ :k:

**Wo mar ghaya hay Saghir jisey tum poojtey theey
Uss ko kisi ki yaad nay zinda jala diya **

Re: Bait- baazi May 2012

Dukh dardaan da thor vi koi nai
Agg pani da jor vi koi nai
Changa je howe thay ikho kafi eh
Bahot yaar banavan di lor vi koi nai
I dont understand punjabi normally but this had been explained so i know :D

Re: Bait- baazi May 2012

na lena naam ai qasid faqat itna he keh daina
jinheen tum bhool biathey ho , tumheen wo yaad kertey heen

Re: Bait- baazi May 2012

Na woh din rahey, na woh mehfilain, na woh jaan se azeez log....
waqt cheen ke le gaya mujh se merey apney kahan kahan...

Re: Bait- baazi May 2012

Kitna chah-ha hai tujhko, soch kabhi ghaur tu kar
hum tu apney bhi kabhi itney talabgaar na theey

Re: Bait- baazi May 2012

Tum Aapni Majboriyon K Qisse Zaroor Likhna Wazahaton Se
Jo Meri Ankhon Main Jal Bhuji Hain Who Khuwahishein Bhi Shumar Karna

Re: Bait- baazi May 2012

Abhee khareed leen dunya kahaan kee mehngi hay
Mager zameer ka sauda bura sa lagta hay