Re: ANAA President Amna buttar Attacked by Police
Thanks Anil bhai aur Dawa i dil. Suchchai ka saath denay walon aap ka bohat shukria aaj kay daur main shaz o nadir hi miltain hain Sachchai ko sarahnay ya saath denay walay.
Thanks for posting hadith to make clear. Jazak Allah khair Allah aap ko is ka baytahasha ajar day ameen.
Hum nain to sirf apni soch apna undaz aur apna tareeqa e kaar likha hai. Aur kuch naheen.
Aik waqia share karoon gi.
Main Karachi say dalluq rakhti hoon aur main MQM ki bohat bar'i hami thi kay jub chiraghan kay liaay kaha tha Altaf nain to apnain paison say ghee kay diaay raat bhar khoob jalaay thay.
Unhi dinon ki baar hai aik din hamaray jannay walay thay unki ammi aeen unki hamari ammi say dosti thi hum say kabhi mulaqat naheen huwi thi aur wo apnay us betay kay liaay jo MQM main kafi achcha ohday par tha hamara rishta karna chahti theen. I knew that cause hamari masi unkay ghar main hamari bohat tareef karti thi.
Khair wo jub aeen aur apna tarruf karaya ammi ghar pay naheen theen so hamain hi un say baat karni par'i jub kay hum kisi say baat naheen kartay thay kuch boltay hi naheen thay.
Unhon nain kaha main aap ko aur doosri bahan ko lenay aaee hoon kay MQM walay ahtajaaj kar rahain hain aur mohallay ki tamaam lar'kiaan ja raheen ahtajaaj karnay aap bhi chalain. Hum nain unki poori baat sun li aur hamain khabar thi kay waqai hamara poora mohallay ja raha tha lar'kioon ka. Hamari ammi nain bhi hamain bohat kaha par hum nain unko aik taka sa jawab dia tha jub ammi nain kaha tum kioon naheen ja rahi jub sub lar'kian ja raheen mohallay ki.
*Dar asal hum bilkul alag thay aam lar'kion say aisi cheezon ya shadi biyaah kay dhoom dhar'akkon main bhi participate naheen kartay thay aur hamari ammi ko bohat shauq tha kay hum kum umri main bar'i bi kioon hain aam lar'kion ki tarha bahave naheen kartay. Fashion bhi islam kay munafi walay naheen apnatay thay. *
*Hum nain ammi say unki is baat pay kay sub lar'kian ja raheen hain to tum kioon naheen ja rahi tum ki lar'ki naheen ho main nain kaha haan lar'ki to hoon per unki tarha bayghairat naheen hoon. Phir kia tha hamari ammi ki bolti bund ho gai. Is say pehlay kay hum unkay baygharton walay kaam saray ginwanay lugtay kay hamari ammi chup ho kar kaheen mohallay main chali gaeen. *
Hum namaz par'h rahay thay kay wo sahiba aeen aur hamara intezar kia namaz par'hnay ka aur kafi ham say baat kar kay impress huwi. Wahan tuk rishta pukka tha. Per hum aisay kisi say shadi naheen karna chahtay thay jinka jald hi unjaam qatl tha. He was in the hit list.
Phir jub unhon nain hum sa kaha aap ko aur bahnon ko lainay ain hoon phir kia tha hum nain bar'ay itminaan say unki batain suni jo wo hamari ammi walay batain dohra raheen theen aur akhir main kuch khiaal kiaay bina hum nain kaha "Jis din MQM kay saray mard aur lar'kay mar jain gay us din hum ahtajaaj karnay jaain gay jub zaroor lenay aeaay ga. Filhaal wo zinda hain to lar'kion ko janay ki kia zaroorat hai is liaay hum naheen jain gay. Aur jub sari ja hi raheen hain mohallay wali to abhi hamari apni zaroorat naheen hai"
Wo bechari khisyani ho gaeen aur phir hum nain adab o ahtaram say unko nashta karay aur Allah hafiz kah dia.
Hamari to bus aisi hi soch hai shuru say. Us waqt hamain pata bhi naheen tha kay females ka ghar say nikalna mana hai.