Re: ANAA President Amna buttar Attacked by Police
SC judge’s sister says police manhandled her
ISLAMABAD: Police allegedly manhandled Amina Buttar, sister of a sitting judge of the Supreme Court Justice Javed Buttar, at the SC where she had come to express solidarity with suspended Chief Justice Iftikhar Muhammad Chaudhry on Tuesday. Amina, a professor of medicine at the University of Wisconsin, USA, said that a police official pushed her and threw her on the ground and injured her knees when she was heading towards the exit of the SC building. Amina is accompanying a delegation of Pakistani American physicians to Pakistan to show solidarity with the suspended CJP on behalf of the Asian American Network Against Abuse. staff report
Wow kitni aqalmand theen suspended bhai kay liaay apni izzat dau pay laga kar ahtajaaj karnay gaeen theen jub aik itnay bar'ay ohday ki value naheen thi kay unko suspend kar dia gia tha to yay teer marnay ya marka sir amjaam daynay gaeen theen. Thats very funny.
Allah ki marzi say hota hai jo kuch hota hai aur us main hamari hi bahtari hoti hai jub hi hota hai khuwah wo ziaadti kay zariaay ho ya kisi bhi zariaay.
Suspension pay Allah ki marzi samajh kar sabar karna tha. Ziadti karnay walon kay saath phir Allah khud nimatta. Na kay aurton ko baag dor pakar leni chahyay.
Ahtajaj say nikal diaay janay walon ko ohda wapis naheen dilaya ja sakta wo bhi Pakistan aur India main khas tor say balkay dunia main kaheen bhi naheen.
Agar ahtajaaj say ohda wapis day bhi dain to aqal to yay hi kahti hai kay phir us say bar'a koi bahana bana kar nikal daytay. Yay kon sa mushkil hai hukumat kay liaay.
Mera yay paigham Amna tuk ponhcha dain.
Agar jo kuch unhon nain kaha hai poora ya thor'a bhi such hai to Allah Unko halak karay jinhon nain aisa kia unkay saath.
Ainda wo ahtajaaj karnay kay bajaay ghar main press confrence kar lain agar bardasht naheen kar pa raheen. Yani ghar say jo kuch kar sakti hain zaroor karain khuwaah ahtajaaj ho kay awaz uthana. Hum bhi is kay qail hai zulm kay khilaaf jitna ho sakay awaz uthana chahyay laikin Islami taqazon ko poora kartay huway.
Is tarha aap wahshion kay haath naheen lagain gi aur aap ki izzat bhi dau pay naheen lagay gi.
Zalim mardon say ghair mahram aurton ka is shokh libaas main insaaf mangnay jana itehai ahmaqana hai.
Sabr karna seekhain choti choti baton pay Allah pay hamaysha subr kia karain wo aap ki aisi madad karay ga jo na ahtajaaj kar sakta hai aur na hamaray hali mahiwali.
*Jis lamhay aap Allah pay aitamad kar kay apnay saath ziaditon pay sabr karain gay Allah dair naheen lagaay ga aap ko us ka sila denay main aur kisi aur tarha say khushiaan denay main Insha Allah. *
*Poster say meri guzarish hai kay itni detail na paish karain agar aap kuch bhi ghairat rakhtay hain to Ghairatmand mard ya ghairatmund aurtain ziadion ki itni detail naheen day saktay/ti. *
Poster sahab aaj kal dunia bar'i chalak ho gai hai saboot chahti hai naheen to yuk tarfa kahani pay ankh bund kar kay yaqeen naheen kar leti.
Do tarfa kahani sun kar bhi sachchai ka pata naheen lagaya ja sakta jub tuk Suchchi gawahi denain walay chund log na hon.
Hum samajh rahay thay kis aurat kay saath ziadti pay yay ahtajaaj kar raheen theen.
Allah hum sub ko Aqal aur samajh day Ameen