Rang pairahan ka, khushboo zulf lehrane kaa naam
Mousam-e-gul hai tumhare baam par aane ka naam
Doston us chasm-o-lab ki kuch kaho, jiske bagair
Gulistaan ki baat rangeen hai, na mehkhane ka naam
Phir nazar mein phool mehke, dil mein phir shamayen jali
Phir tasavvur ne liya us bazm mein jane ka naam
Dilbari thehra zabaan-e-khalk khulwane ka naam
Ab nahin lete pari-roo zulf bikhrane ka naam
Ab kisi laila ko bhi ikraar-e-mehboobi nahin
In dinon badnaam hai har ek deewane ka naam
Muhatsib ki khair, uncha hai usi ke faiz se
Rind ka, saaki ka,may ka, khum ka, paimane ka naam.
Hum se kehte hain chaman vale, gareebane chaman
Tum koi accha sa rakh lo apne veerane ka naam
Faiz unko hai takazaa-e-vafa humse jinhe
Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
LP
2
Re: Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
The tough urdu 
Re: Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
Bohat Khoob…:k:
**
Phir nazar mein phool mehke, dil mein phir shamayen jali
Phir tasavvur ne liya us bazm mein jane ka naam**
Nazar mein Konsa Phool Mehka…is waqt?
Re: Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
duniya ke saare khoobsurat phool 
Re: Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
Not so… mujhe to dictionary ki zaroorat nahin padhi
Re: Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
Nice…
Us mein sy Kitny ToRRayn gay…? 4 ki ejazat hy:p
Re: Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
saare phool uss ek phool ke naam
LP
8
Re: Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
Aap LP hain ?
Re: Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
Realy Nice…:k:
Re: Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
LP ki mother tongue Urdu hai meri nahin 
LP
11
Re: Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
LP ne urdu seekhi he nai …aapne seekhi hai 
Re: Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
classes nahin lin Urdu ki kabhi maine. Hamre syllabus main Salees Urdu tha jo padhane wale na to Sindhi sahi jante the na Urdu
LP
13
Re: Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
Urdu tha tou 
Re: Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
syllabus main hone se kuch nahin hota.. khud padho, suno, samjho to baat bunti hai
LP
15
Re: Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
Mai ab urdu news ka adha page without atkay parh leti hoon 