YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
Be-Aib hai Chehra tOu
Jaanaa
Dikha Q ni DetAy…!

Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
![]()
achi shakal bhi kia cheez hai sahib
jis ne bhi nazar daali buri nazar daali
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
chehraa dikhaa diyaa to phir naujawaanaan-e-shahr yuN gaate phireNge:
chahraa dikhaa aur paRosan jal gaii
yaa
**us ne jalwa dikhaayaa to sab jal gaye!!! **![]()
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
![]()
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
hahahaha rite rite ![]()
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
ab naqaab Daal hii liyaa hai to mujhe to majbooran yehi kahnaa paRegaa k:
**apne ruKh par nigaah karne do
Khoobsoorat gunaah karne do
ruKh se pardaa haTaao, jaan-e-Hayaa!
aaj dil ko tabaah karne do
ruKh se zaraa naqaab uThaa do, mire Huzoor!
jalwa phir ek baar dikhaa do, mire Huzoor!** ![]()
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
fair n lovely hai naa us ko bata dey jiye ga ![]()
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
Bohat Khoob…:k:
Deed ki Talab ho to Nazryn Jamaay rakh "GH@LIB" Parda ho Ya Naqaab, Sarakta zaroor hy.…![]()
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
enter10 aap ne Parveen Shakir ki kitaab ‘Khud-kalami’ padhi hai?
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
nahi bro…Q kia hy Us mein?
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
achi kitaab hai.. boht umda nazmen aur ghazlen hain ![]()
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
Aap Abhi PaRh rahay hyn ya Pehlay PaRh chukay hyn…?
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
bus yaad aa gai thi kuch padh kar
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
Humayn bhi to pata chalay kia paRh k yaad aa`e…![]()
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
kuch to hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayal bhi
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
Bro Kab tak Khayal sy Guzara kryn gay…Ghar hi ly aa`ayn jaldi sy…![]()
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
yani jo baat tujh main hai wo teri tasweer main kahan
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
ji ji…yehi baat hy,
Ab Tasveer to cha`ay bana k pilany sy rahi…?
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
hum chai peete hi nahin ![]()
Re: YOun Daal Ke Phirtay hO NaqaboOn Pe Naqab
Item change kr lyty hyn…LASSI ya Biryani…?