Yaad
khuaab to ab bhi phool ke maanind yaad ki shaakoN par
har aek mosam meiN reh reh ke khiltey rehtey heiN
par safar haeraan hey ke manzil ke nishaaN gaeb heiN
waqt ka ishaara hey ke rastoN ke khuda khaaif heiN
bikhrey jazbaat ke malboosaat dil ki almaari meiN
muntazir heiN ke terey haathoN sey phir tarteeb miley
**laakh rastoN ke khudaaoN ney mooN morr liya **
dil ye chahata hey tujh sey milney ki koi tarkeeb miley!