Re: who would be the urdu poet of the century?
**Ibne Insha**
**yeh batain jhooti batain hain, yeh logon nay phelai hain **
**tum insha ji ka naam na lo, kia insha ji saudaaii hain???**
**hain lakhoon rog zamanay main, q ishq hai ruswa baychara**
**hain aur bhi wajhain wehshat ki, insan ko rakhti dukhiara**
**haan baykal baykal rehta hai, ho peet main jis nay jii hara**
**per shaam say lay kar subh talak yoon kon phiray ga awaara???**
**yeh batain jhooti batain hain, yeh logon nay phelai hain **
**tum insha ji ka naam na lo, kia insha ji saudaaii hain???**
**yeh baat ajeeb sunatay ho, wo duniya say bay aass huay**
**ik naam suna aur ghash khaya, ik zikr pay aap udaass huay**
**wo ilm main aflatoon sunay, wo sher main tulsi daas huay**
**wo tees baras kay hotay hain, wo B.A. M.A. paas huay**
**yeh batain jhooti batain hain, yeh logon nay phelai hain **
**tum insha ji ka naam na lo, kia insha ji saudaaii hain???**
**gar ishq kia hai tab kia hai? q shaad nahi abaad nahi?**
**jo jaan liay bin tal na sakay, yeh aisi bhi uftaad nahi**
**yay baat tu tum bhi mano gay, wo Qais nahi Farhaad nahi**
**kia hijr ka daro mushkil hai? kia visl kay nuskhay yaad nahi???**
**yeh batain jhooti batain hain, yeh logon nay phelai hain **
**tum insha ji ka naam na lo, kia insha ji saudaaii hain???**
**wo larki achi larki hai, tum naam na lo hum jaan gayay**
**wo jis kay laambay gaisoo hain, pehchaan gayay pehchan gayay**
**han saath humare insha bhi uss ghar me thay mehmaan gayay**
**per uss se tu kuch baat na ki, anjaan rahe anjaan gayay**
**yeh batain jhooti batain hain, yeh logon nay phelai hain **
**tum insha ji ka naam na lo, kia insha ji saudaaii hain???**
**jo hum se kaho hum kartay hain, kia insha ko samjhana hai??? **
**uss larki se bhi keh len gay, goh ab kuch aur zamana hai**
**ya chorain, ya takmeel karain, ye ishq hai ya afsaana hai???**
**ye kaisa gorakh dhanda, hai ye kaisa tana bana hai???**
**ye batain kaisi batain hain, jo logon nay phelai hain???**
**tum insha ji ka naam na lo, kia insha ji saudaaii hain???**