Who kehta hay ~ mein kehti hon

A nostalgic dedication :slight_smile:

Who kehta hay udasi par kabhi kuch likh kay dikhlao
mein kehti hon meray aagay karo shesha mein likhti hon

who kehta hay batao barshon ki kia haqeqat hay
mein kehti hon yeh tu badilon ki aankh roti hay

who kehta hay tumharay khawab saray keun adhoray hein
mein kehti hon meri jaan tum inhein takmeel day do na

who kehta hay batao sham mein khunki hay keun itni
mein kehti hon judai mein kissi ki ankh roti hay

who kehta hay kay itni bay-yaqeeni kiss liay akhir
mein kehti hon kay itni bay-yaqeeni sukh mein rakhti hay

who kehta hay batao mein tumhein keun bha gia itna
mein kehti hon meri jaan hadsay tu ho hi jatay hein

who kehta hay achanak mein tumhein yunhi rula don tu
mein kehti hon mujhay daar hay kay tu bhi bheag jaay ga

who kehta hay meara dil tum say akhir keun nahi bharta
mein kehti hon, muhabbat ki koi hadd hi nahi hoti

who kehta hay karon jab phone sunnay keun nahi aati
mein kehti hon teari aawaz sun kar zabt roota hay

who kehta hay batao chorian kesi lagi tumko
mein kehti hon mujhay yeh toot kar takleef deati hein

who kehta hay batao bay-sabab keun rooth jati ho
mein kehti hon zara mujhko manao acha lagta hay

Re: Who kehta hay ~ mein kehti hon

Beautiful sharing...

Bohat Khoob Namaan..:k:

:eek: are you ok?
acha on a serious note.. beauitful sharing :flower1:

Re: Who kehta hay ~ mein kehti hon

Thanks :snooty:

Re: Who kehta hay ~ mein kehti hon

Bohat khoob

Re: Who kehta hay ~ mein kehti hon

nomi tabiat to theek hai na :konfused: zaberdast sharing :k:

Re: Who kehta hay ~ mein kehti hon

Its classic :k:

Thanks 4 dedicate me :stuck_out_tongue: :blush:

PS: v nice sharing :slight_smile:

Re: Who kehta hay ~ mein kehti hon

Thanks everyone and anytime Koyal jee :)

Re: Who kehta hay ~ mein kehti hon

aww i liked this! nicee

Re: Who kehta hay ~ mein kehti hon

Thanks :)

Re: Who kehta hay ~ mein kehti hon

Nammi ... naam batao uska ;)