Na tu ghum ko dhoop jala saki, na tu mausamoon ka assar huwa
Woh meri wafa ka hi phool thaa, jo abhi talak hai khila huwa ...
aaa k ab tasleem ker laiN, tuu nahi toa may sahee
kon maanay ga k hum main bewafa koi nahee
her koi khud ko wafa ka mayyar kehta hay
phir bhee bazaar main yeh jins hay nayaab bahut
very nice ![]()
vafaa ke Khvaab muhabbat kaa aasara le jaa
agar chalaa hai to jo kuchh mujhe diyaa le jaa
Wakt ke haath tum ne apna har khwaab baich diya
Par yeh meri wafa ka bhao hai jo girta hi nahe hai
Sehra ne thak haar ke yeh poocha hai falak se
Kya faeda us baadal ka jo barasta hi nahee hai ...
buhat khoob..
kii vafaa hamase to Gair use jafaa kahate hai.n
hotii aa_ii hai ke achchho.n ko buraa kahate hai.n
Is jahaan mein dostoon ka khuloos
Jis ne dekha naseeb se dekha
Woh tu Wafa se bilkul aari thay
Hum ne jin ko kareeb se dekha ...
buhat khoob cant think of any other shair with "wafa" so i m gona share one of my shair ..
wafa key nam pe ankhien chura lete hianh woh
aur bewafai ka tazkara hazar karte hianh
tum apney dil mei jhank kar dheku tu zara
wahan merey nam key charche azal sey bastey hainh
wafa key nam pe ankhien chura lete hianh woh
aur bewafai ka tazkara hazar karte hianh
tum apney dil mei jhank kar dheku tu zara
wahan merey nam key charche azal sey bastey hainh
[/QUOTE]
Thanks for sharing and yes, its beautiful …:k:
Namoon mein ek naam woh tera aik naam
Waisi kisi bhi naam se wuq’qatt nahee rahi
Rangoon mein ek rang woh teri wafa ka rang
Waisi kisi se mujh ko muhabbat nahee rahi …
kaha tha kis ne ke ahde wafa karo us se
jo yon kia hai tu phir kiyon gila karon us se
Faraz tark e taalaq tu khair kia ho ga
yahi bohot hai ke kam kam mila karo us se
Dasht-e-wafa mein pyaas ka aalam ajeeb thaa
Dekha tu ek dard ka dareyaa kareeb thaa
Guzray jidhar jidhar se tamanna ke qaafilay
Har har qadam pe ek nishaan-e-saleeb thaa ...
yahi asool raha hai wafa paraston ka
her aik haal mien tousef e husan e yaar karien
jabien se dho ke her ik naqash namuradi ka
nigar e gul tere jalwoon ka intazaar karien
Yeh tu sach hai ke ehad-e-wafa ke waqt bhi
Ek chammak us ke hontoon pe gulraiz the
Lekin ab is haqeeqat ko mein kya kahoon
Yeh chammak us chammak se dil awaiz thee ...
vafaa ke shiish mahal may sajaa liyaa mai ne
vo ek dil jise patthar banaa liyaa mai ne
Bana bana ke tamanna mitaee jaati hai
Tarah tarah se wafa aazmaee jaati hai
Jab un ko meri muhabbat ka aitbaar nahee
Tu jhuka jhuka ke nazar kyo milaee jaati hai ...
kise bewafa ke khatir, ye janoo faraaz kab kab tak
jo tumhien bhola chuka hai, use tum bhi bhool jaao
Raah-e-junoon pe chal paray jeena mahaal kar liya
Hum ne talaash-e-wafa mein khud ko nidhaal kar liya
Apni bhi kuch khabar nahee dil ki bhi kuch khabar nahee
Hum ne tumhare hijar mein kaisa yeh haal kar liya ...
wafaa ke Khwab muhabbat kaa aasara le jaa
agar chalaa hai to jo kuchh mujhe diyaa le jaa
Yeh sikhaaya hai dosti ne humein
Dost ban kar kabhi wafa na karo
Ishq hai ishq yeh mazaak nahee
Chand lamhoon mein faisla na karo ...
yaad aon ga tumhain zikar-e-wafa per main bhi
ushq ban kar teri aankhon main utar jaon ga