~ Wafa ~


Wafa ke sheesh mehal mein sajaa liya mein ne
Woh ek dil jissay patthar banaa liya mein ne …



*
ye merii wafa ki hein vehshatien mujhe ikhtyaar-e-junoon nahi
jahan hum ne naam tera suna waheen apne sur ko jhuka diya*


Socha nahee acha bura dekha suna kuch bhi nahee
Maanga Khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahee
Dekha tujhe chaaha tujhe socha tujhe pooja tujhe
Meri Wafa meri khata teri khata kuch bhi nahee ...



*
badla wafa ka dien ge barii saadgii se hum
tum hum se rooth jaou ge aur zindagii se hum*


Tark-e-wafa bhi jurm-e-muhabbat hi sahi
Milnay lageen wafa ki sazaayain tu kya karain ...


*
wafa talash na ker in mosumii parindo` mein
gayee bahaar tu phir ye laut ker na ayein ge*


Ek arsa huwa tark-e-muhabbat keye huwe
Is tarah bhi kaash na jeeya karay koi
Khalwatoon mein bhi ussay sochta raha
Is tarah bhi kaash na wafa karay koi ...


*yun jaan dee wafa mien Qatil tamaam umeR
dil ki adalato`n mein saza dhoondhta raha *


Hai sabhi kuch jahaan mein dosti hai wafa hai
Apni yeh kam naseebi hum ko na kuch bhi mila hai ...


  • hum khushbok soudagar hien hum souda sacha kerte hien jo gahuk pholon jaisa ho hum bin damon bikk jatay hein hum shehr-e-wafa k logo ka tum haal bhala kia jaano hum dil ki choott chupatay hein aur aansoo tuk pee jatay hein*


Yeh hansti huwi siskeyoon ki hai duniya
Yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai
Kis umeed pe awaaz doon mein yahaan
Kab badla wafa ka kissi ko mila hai ...



*hum wafayein ker k rakhte hein wafa`oun ki umeed
dostii mein itnii bhee saudagarii jurm hai *


Mujhe wafa ki hai umeed magar har ek se nahe
Koi milay magar us yaar-e-bewafa ki tarah ...


^ oops.. mae yehi shair post kerne lagi thee :-p

hum bawafa thay jo nazro`n se gir gaye
shayad tumhien talaash kissi bewafa ki thee


Ghum ke sanjoog achay lagtay hain
Mustaqil ke roug achay lagtay hain
Mujh se koi wada'ay wafa na karay
Mujhe bewafa log achay lagtay hain ...



*
wo ker rahay thay apnii wafaou`n ka tazkira
dekha mujhe tu baat ka pehlu badal gaye*


Woh pyar jis ke leye hum ne chor di duniya
Wafa ki raah mein ghayyal woh pyar aaj bhi hai ...


*kuch mosum udaas tha kuch lehja tha bheega bheega doobtii shaam ka sara durd tha us k lehjay mien us ne tu yaQeen dilaya mgr mujhe hee aetbaar na aaya najanay aisee baat kia tha us be-wafa k lehjay mien*

gtg :wave:


Udaasi ke chehray parha mat karo
Ghazal aanso'oun se likha mat karo
Tumhein log kehnay lagay Bewafa
Zamaanay se itni wafa mat karo ...


hum akser dosto`n ki bewafaii seh tu lete hien
lekin hum jaantay hien dil hamare toot jatay hien