~ Wafa ~


Hoti nahee wafa tu jafa hi kiya karo
Tum bhi tu koi rasm-e-muhabbat ada karo ...


  • ab k tajdeed-e-wafa ka amkaan nahi janaan yaad kia dilayein tujhh ko tere paimaan janaa`n *


Yahaan badla wafa ka bewafaee ke siwa kya hai
Muhabbat kar ke bhi dekha muhabbat mein bhi dhoka hai ...


bhoolna tha su wo ehed-e-wafa bhool gaya
bewafaii k sub andaaz usse yaad hien


Humein aata nahee hai pyar mein be-aabro hona
Sikhaaya unko hum ne wafa mein sur-khuroo hona ...


*

akelay kis se utha hai taluQaat ka bhoojh
wo tum ko yaad na rakhay tu bhool jana usse
mae keh raha tha k rah-e-wafa khathan hai boht
mgr bicherne ka haath aagaya bahana usse*

Ab ke hum bichre toh shayad kabhi khuwabon mein milain
Jis tarha sukhay hoa phool, kitaabon mein milain
Dhoond ujray huwe logon mein wafa ke moti
Ye khazaane tujhe mumkin hain, kharaabon mein milain

*

yaaron ka kia zikR k wafa ki talaash mien
hum ne tu dushmano
n ko bhee dil mien basa liya*

teray dum say the phaili kamray mai roshni
khirki main chand taaq mai koi diya na tha
shanay say mairay lag k roya wo isqdar
mujhay laga k wo be wafa na tha

:flower2: Very nice u guys:flower2: :k:

* beautiful..:k:

mae bhee khush nahi wafa ker k
tu ne acha kia jo nibah na ki
*

raah-e-wafa mein hamko khushi ki talaash thi
do gaam hi chale the ke harr gaam ro parray

*
kaash ab k aisa ho ke be-wafaii mae keron
tu phiray Qareeya Qareeya, ku-ba-ku mere liye*

na janaay koun see majbouriyoun kaa qaidie hou
bichar gayaa hai tu uss kou bewafaa naa kahou


likha hai mera naam samunder pa hawa ne
donon k muQaddar mien sukon hai na wafa hai

nice

her jagah aap ka aastana hua
phool khiltey rahe chand hansta raha
aarzou ka mukammal fasana hua
pehle huti thi quwwat wafa men bandhi
ab k saaghir yeh kaisa purana hua


abhii zid na ker dil-e-bekhabR k pas-e-hajoom sitam-garan
abhi koun tujh se wafa kere abhi kis ko fursatien is Qadr
k sumait ker terii karchiya
n
tere haQ mien khud se dua kere!

phool khiltey rahe chand hansta raha
aarzou ka mukammal fasana hua
pehle huti thi quwwat wafa men bandhi
ab k saaghir yeh kaisa purana hua


mutma`in hoon k mujhe yaad rakhay gi duniya
jub bhee is shehR ki tareekh-e-wafa likhay gi

very nice HH G :wave:

hum ko un say wafa ki hay ommid
jo nahin jante wafa kia hay