KKF
June 21, 2013, 2:01am
1
salaam dostou
ummiid hai k mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
maiN ek nayaa silsila_vaar laRii kaa silsilaa shuru’u kar rahaa huN aur ummiid kartaa huN k aap sab ko pasand aayegaa.
aapko bas moHaavaraat ke mataalib bataane hoNge…ho saktaa hai k moHaavaraat Ghair_maanoos hoN magar aap koshish to kijiye.
moHaavarah:
**maar maar ke uttu banaa denaa/kar denaa **
مار مار کے اتتو بنا دینا/کر دینا ]
good luck N happy maGhaz-maaring.
faqat muKhlis
_______KKF
Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
utttto?? something related to eent (bricks)?
KKF
June 21, 2013, 10:41am
3
Re: Urdu moHaavaraat ke ma'aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
nope! :(
Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
maar maar k bhurta bna dena? mtlb qeema bna dena?
KKF
June 21, 2013, 10:45am
5
Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
lol…nope…mujhe bhook lag gaii…sunaa hai aap qeema bahot achchhaa banaatii haiN!
Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
me to qeemy ko hath bhe ni lgati to bnaun ge kaisy?
KKF
June 21, 2013, 4:52pm
7
Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
aajkal to “REMOTE” kaa zamaana hai…remote control se?
Btain kis ka qeema bnana hy? Is thread ka?
KKF
June 21, 2013, 5:03pm
9
Re: Urdu moHaavaraat ke ma'aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
Btain kis ka qeema bnana hy? Is thread ka? :D
jisko qeema pasand ho uskaa! :D
ab bataayeN k moHaavarah kaa kia matlab hai? :p
Khalil KhaaN FaaKhta:9636517:
jisko qeema pasand ho uskaa!
ab bataayeN k moHaavarah kaa kia matlab hai?
Qeema qeema so hint is qeema wo jo me ny pehly btaya tha wo ghalat hy is ka mtlb hy qeemy ko kisi nageeny ki tarah fit krna hy?
KKF
June 21, 2013, 5:25pm
11
Re: Urdu moHaavaraat ke ma'aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
Qeema qeema so hint is qeema wo jo me ny pehly btaya tha wo ghalat hy is ka mtlb hy qeemy ko kisi nageeny ki tarah fit krna hy?
no, it's NOT a hint...similar meaning hai magar qeeme kaa koi tazkirah nahiiN hai! :)
Re: Urdu moHaavaraat ke ma'aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
kisi kaam ka na chorna?
Nain
June 21, 2013, 6:08pm
13
Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
uttu kisi tree ka naam hai
Re: Urdu moHaavaraat ke ma'aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
Are you sure it's a tree?
Nain
June 21, 2013, 6:17pm
15
Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
tukka mara hai
let me search
Restored attachments:
KKF
June 21, 2013, 6:26pm
16
Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
nope!
hahahahaha…yeh tree kahaN dekhaa?
Nain
June 21, 2013, 6:28pm
17
Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
sreach ker ke pata lagaya hai
ye bataye ke ye hindi word hai ya urdu
KKF
June 21, 2013, 6:29pm
18
Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
Hindi isse kia hogaa?
Nain
June 21, 2013, 6:33pm
19
Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
Hindi isse kia hogaa?
kuch tu kichri pak hi jaye gi
ye pora word uthang hai means towering
maar maar ke uncha darahk bana dun gi
KKF
June 21, 2013, 6:39pm
20
Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1
kuch tu kichri pak hi jaye gi
ye pora word uthang hai means towering
maar maar ke uncha darahk bana dun gi
lol…mujhe to baRaa mazaa aa rahaa hai…pataa nahiiN aapko aa rahaa hai yaa nahiiN!