Urdu moHaavaraat ke ma'aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1

Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1

mujhe searching main bohut maza araha hai pata nahi kya kya pata chal raha hai is word ke bare main knowledge main izafa hu raha hai :cb:

let me search more :hoonh:

Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1

Allah Khair kare…kahiiN aap “La’l BujhakkaR” na ban jaayeN! :cb:

Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1

ye konsa profession hai..ye kis banda ka naam hai :hmmm:

Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1

yeh to Hakeem Loqmaan se aapko poochhnaa paRega k miyaaN La’l BujhakkaR kaun the…maiN to itnaa hii bataa saktaa huN k vo miyaaN Shahbaz Shareef ke hii aabaa o ajdaad meN se the kiuN k vo bhii nihaayat shareef un nafs the! :cb:

Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1

Mere dimagh ki ghanti baj gayi hai :mudhosh:

Abb app hi bata dejiye is ka matlab :stuck_out_tongue:

Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1

isse pahle k aapke dimaaGh ghanTii se baRh kar ghanTaa bajaaye, maiN jawaab diye detaa huN magar zaraa der ke ba’d kiuN k mujhe chand ek tasaaveer talaash karnii haiN! :slight_smile:

Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1

abb is ka matlab bata bhi dijiye latka ke rahkha hua hai :emmy:

Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1

laTakte huye manaazir kaise lag rahe haiN? sab ulTaa pulTaa dikhing? :smiley:

ta’ajjub hai kisii ne abhii tak saHeeH jawaab nahiiN diyaa! :frowning:

Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1

main ney bohut koshih ki mager nahi mila :frowning:

abb or nahi :nahi:

Re: Urdu moHaavaraat ke ma’aanii bataaiye<><><>ek silsila_vaar laRii-1

sorry for the late reply! :frowning:

maar maar ke uttu banaa dene kaa matlab hotaa hai k kisii ko itnaa maaraa jaaye k uske jism par jaa ba jaa nishaanaat paR jaayeN.

uttu = wooden imprint blocks

in my childhood, i remember seeing old women using this technique to print their fabrics. here is a pic of an uttu:

uttu:

guy printing fabric

printed bed-cover


Restored attachments: