Re: Timepaas
dostoon …
Main page per kuch intikhaab aap ki nazar-e-karam ka muntazir hai …
Re: Timepaas
dostoon …
Main page per kuch intikhaab aap ki nazar-e-karam ka muntazir hai …
Re: Timepaas
acha jee hum us pe nazr e karam farma daity hain ![]()
Re: Timepaas
**Khushi meri talaash mein yunhi phirti rahi 'Faraz'
Kabhi ussay mera ghar na mila tau kabhi ussay hum ghar mein na milay ...
**
Re: Timepaas
**Tumhari yeh sharaarat naqsh hai aaj tak dil per
Dabbay paun chalay aana mera jhumka hila daina ...
**
Re: Timepaas
**Tumhari yeh sharaarat naqsh hai aaj tak dil per Dabbay paun chalay aana mera jhumka hila daina ...
**
idea acha tha :)
Re: Timepaas
hamaari haazri to lag gai Arif bhai ![]()
Re: Timepaas
*Har pal dheyan mein basnay wlay log afsanay hojatay hain
Aankhain bhoori hojaati hain khwaab puraanay hojatay hain
Saari baat taluq wale jazboon ki sachai tak hai
Mail diloon mein ajaye tau ghar weeranay hojatay hain
Duniya ke is shor ne kya kya hum se cheen liya hai
Khud se baat keye bhi ab tau kaee zamany hojatay hain ...
*
Re: Timepaas
Shab to lagta hai waqai so gaii hain
Re: Timepaas
Bahut shukriya Amal and Innocent Smile ...
Re: Timepaas
Shukriye ki koi zaroorat nahi Arif… cash dey do ![]()
Re: Timepaas
Faqat ussay bhulaanay ke leye ...
**
Re: Timepaas
Shukriye ki koi zaroorat nahi Arif... cash dey do
Amal, yahaan tau zindagi cash hone ko hai ...
Re: Timepaas
Soee to nahi heiN…mujhey ba’khabar zaraaey sey pata chala hey… lekin deikhtey heiN idhar ka rukh hota hey ya nahi… ![]()
Re: Timepaas
Amal, yahaan tau zindagi cash hone ko hai ...
To karwa lo na merey dost, intizaar kis baat ka hey???? :)
Re: Timepaas
Woh morr jis ne humein ajnabi bana daala
Us ek morr pe dil ab bhi gun'gunaata hai ...
**
Re: Timepaas
To karwa lo na merey dost, intizaar kis baat ka hey????
Aap samjhay nahe mere bhai, yahaan per zindagi cash hone se matlab, barbaad hona hai ... !
Re: Timepaas
![]()
![]()
acha. yahan light janay se pehlay aain to baat hai ![]()
Re: Timepaas
![]()
![]()
Re: Timepaas
Aap samjhay nahe mere bhai, yahaan per zindagi cash hone se matlab, barbaad hona hai ... !
Jo kuch pehley kaha wo to shaed aap ney parrha bhi na ho...ab aur kya keh sakta hooN.... zindagi ki qeemat poochni ho to bistar-e-marg pe parrey huwey us shakhs sey poochye jis ke paas sirf chand saaNso ki mohlat reh gai ho.
Re: Timepaas
aray ap ne to boht samajhdari wali baat kar di ![]()