Aap ka har lafz mere leye anmol hai, aisi baat nahe ke mein ne unhain parh kar gaur na kiya ho ya un-suni kar gaya ho ... Gou ke wakt har zakhm ka sab se bara marham hai, magar shayad zindagi mein jab aisi situation ajaati hai tau aap ko sambhalne mein wakt tau lagta hai kyon ke jin per bharosa thaa ke sambhalenge wohi saath chor dain tau kya kaha ja sakta hai ...
Mujhe na tau Rab ki rehmat se mayoosi hai na hi us ki faisloon per sawaal hai ... shikwa hai tau bas taqdeer se ... !
woh kya kehtay hain ... Taqdeer bani ban kar bigri, duniya ne humein barbaad kiya ...
Aap ko pata hey ke dunya meiN AEK BHI aesa shakhs nahi jo sab sey ziaada dukhi ho!!!! hum sab kisi na kisi darjey meiN dukhi hote heiN ... agar to zindagi aap ki apni ijaad hey to phir to aap ko is sey maiyoos hone ka haq bhi hey aur ranjeeda hone ka bhi. Aur agar ye aap ko kisi ki taraf sey ataa ki gai hey to merey bhai kisi ki di hui cheez pe usi ke feisloN ka itlaaq ho ga na?????

Amal,
Mein aap ki baat se poori tarah agree karta hoon, shayad jab dosroon ke dukh insaan sunta hai tau apna gham bhool jaata hai ... Bas dua karain ke mera Rab mujhe hausla aur mere dil ko mazboot bana de ke mein in hadisaat mein sabit qadam rahun, Aameen ! Wakt tau guzar hi jayega Amal, lekin hamsafar ka dukh aur yaadain, apne nuqoosh chor jayengi ... !
Ye jis makhlooq ka naam insaan hey na Arif, ye bohat dheet qisam ki cheez hey… ye apni sagi maaN ko dafna ke khaana khaaney lagta hey… haqeeat talkh hey…lekin ba’harhaal haqeeqat hey. Jo dard deta hey wo chaara karna bhi jaanta hey…yaqeen aur aeytemaad shart hey!