Timepaas

Re: Timepaas

Koi hey???

http://i54.tinypic.com/spkz6h.gif

</font-size=“5”>

Re: Timepaas

mai ho :D

Re: Timepaas

salaam...kaisi haiN Shab? :D

Re: Timepaas

haye main sadkay aik bar naam le dia,baji ki hasrat puri kerne main aik min nai lagaya :emmy:

Re: Timepaas

theeeek kk ap kasay hain

Re: Timepaas


**Allah kaa karam aur aHsaan hai...

ibtidaa e week-end hai, maze kartaa hai kia?
aage aage dekhiye Jumman MiyaaN hotaa hai kia! :D**

Re: Timepaas

acha ap ka naam juman mian hai???toh phir ye KKF kon hai :konfused:

Re: Timepaas

lo ji…kar lo gallaaN…mere naam kia gintii ke haiN? ab maiN itnaa gayaa guzraa huN? vaise, kahte haiN k Geminis jo hote haiN unkii multiple personalities hotii haiN so abhii aap dekhtii jaaiye…maiN maanind e karam-kalla [cabbage] huN…parat dar parat…ek ke neeche ek, ek aur anek! :slight_smile: :smiley: ab samjhiiN? kia samjhiiN? nahiiN samjhiiN? :cb:

Re: Timepaas

samajh gai :sadaf:

Re: Timepaas

lo ji…Khud ko goli maarne se pahle samajh gaii thiiN yaa maarne ke ba’d? :smiley:

Re: Timepaas

ap ki batain maarne k baad samajh ati hain :muzna:

Re: Timepaas

**hahaha…chaleN yeh to bahot saHeeH hai…meri samajh baRii mohlik hai…:smiley:

shaa’irii kaisii jaaying aajkal?**

Re: Timepaas

han g allhamdolillah theek ja rhi hai…kal meenare pakistan chali gai thi per shukar hai time se pakarr lia nai to zada door ja sakti thi :cb:

Re: Timepaas

**waah, mashaa Allah…kis samt meN ziyaada door? oopar kii jaanib? :omg:

hai mashq-e-suKhan jaarii, chakkii kii mashaqqat bhii
ik turfa tamaasha hai “Shazi” kii tabii’at bhii :D**

Re: Timepaas

sorry paen nai samajh aya..meri urdu ab itni b achi nai :barbie:

Re: Timepaas

**nai nai…vo baat yeh hai k:

bak rahaa huN junuuN meN kia kia kuchh
kuchh na samjhe Khuda kare koii :D**

Re: Timepaas

chalain shukar karain k nai samajh ai :barbie:

Re: Timepaas

:salam: Koi hai, subah subah :chai: ka daur chal raha hai.

Re: Timepaas

:wsalam: jite rahien khush rahien

Re: Timepaas

:slight_smile: :salam: