Poet of the Month for Allama Iqbal Day

Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal

khudi hai zinda to hai mout ek maqam-e-hayaat
kay ishq mout say karta hai ek imtahan-e-sabaat

khudi hai zinda to dariya hai bay-karana tera
teray faraq mai muztar hai mouje-e-neel-o-farat

khudi hai murda to manid-e-kah paish-e-naseem
khudi hai zinda to sultan-e-jumla mojuda'at

nigah ek tajali say hai agar mehroom
woh sud hazar tajali talafi mafaat

muqaam banda-e-momin ka hai waraye sephar
zameen say taba-suraiya tamam lat-o-man'aat

hareem-e-zaat hai is ka nasheemun abdi
na tera khak-e-lehad hai na jalwa gah-e-safat