Re: Timepaas
aur faaKhta kia kare? vo kia maare? :D
Fakhta ney phir aaj kaya maraa :D
Re: Timepaas
aur faaKhta kia kare? vo kia maare? :D
Fakhta ney phir aaj kaya maraa :D
Re: Timepaas
zaraa unkii shoKhii to dekhiye, liye zulf-e-Kham shudah haath meN
mire peechhe aaye dabe dabe, mujhe “saaNp!” kah ke Daraa diyaa ![]()
Re: Timepaas
zaraa unkii shoKhii to dekhiye, liye zulf-e-Kham shudah haath meN mire peechhe aaye dabe dabe, mujhe "saaNp!" kah ke Daraa diyaa :D
to aap Darr gaye ;)
Re: Timepaas
to aap Darr gaye ;)
haN na :D abhii tak larzah taarii hai :D
Re: Timepaas
haN na :D abhii tak larzah taarii hai :D
uffo ab aap ko aur darana chahiye :D
Re: Timepaas
ek baar gaaoN meN apnii sister kii shaadii par maiN ne aur mere ek dost ne mil kar apni ek cousin ko bhoot ban kar raat ke barah baje ke ba’d aisaa Daraayaa thaa k ham log Khud bhii Dar gaye the ![]()
Re: Timepaas
That is funny you know jab gulf war hoi hti ham middle east mein they us waqt and they gave us these gas masks to take them to school
So when war was over my dad took it to Pakistan and wore it at night and scared phuppo and my cousins ![]()
Re: Timepaas
**hahahaha…
hahahaha…sachchii bahot Daraawnaa lagtaa rahaa hogaa andehere men Khaas kar…Dark Raider jaisa aur us emN se saaNs kii aawaaz bhii aatii rahii hogii Daraawnii sii na?
is inkishaaf se pataa chalaa k mashaa Allah aap “Khaasii puraanii” haiN
hahaha :D**
Re: Timepaas
haan jab gulf war hoi thi mein 6th grade mein thi
But there was one more funny event which I will never forget ![]()
Re: Timepaas
achchhaa…wowww…mashaa Allah…kia thaa vo waaq’ia…plz bataayeN ![]()
Re: Timepaas
Gulfwar mein gas attack kaa bohat khatra rehta thaa jo shukar hai kabhi hoa nahi but order yehi thaa ke jo bahir ho building se like gardeners or walking people if siren sound they had to wear masks.One of our very lovely aunty bohat ghabraii hoi theen is situation say and MA ladies ki aqalmandi to bohat hai hi
So eik dafa siren baja it was day time abbu office gaye they ammi and ham sisters ghar per thay ham sab eik kamray mein jama ho gaye and darwaza bhi band ker liya.Itnay mein hamari aqalmand aunty ney dekha ke bahir cleaning boy ne gas mask pehna hoa hia and unhon ne apni tamaam friends ko call kiya ke gas attack ho gaya hia masks pehan lo
And un se aqalmand hamari ammi unhon ney news sey yaa atleast abbu ko call ker key confirm kerna munasib samjha hai nahi and ho gayein panic and chor machaya haye ham sab gaye please gas mask pehno.My elder sister ney jaldi se gas mask pehna us kee sath koi aur bhi cheez thi woh lagai and lageen amma ko pehnanay ammi shor machayein haye meray baad phans gaya hai gas mask mein kaya keroon gi mera saans ghut jaaye gaa.And mein choti thi mein instructions parh ke abhi straps khol rahi thi ke ittefaaq sey hamaray abbu ki call aai and ammi ney bataya tum ney gas mask nahi pehna gas kaa attack ho gaya hai ham sab gaye Saddam ko khub gaaliyaan parein.Abbu ney kaha neik bakht woh jab bhi siren hota hai jo bhi bahir hota hai us ko order hota hia pehnay kaa.Jaldi utaro yeh mask is sey pehlay mask nuqsaan punchahye
IT was scary at that time but after words ham sab ney ammi and bari behan kaa bohat mazaaq uraya thaa ![]()
Re: Timepaas
**aaaaaaaaaawwwwwwww and hahahaha…han yeh sach hai k panic meN bande kii sochne samajhne kii salaahIyat kam hii ho jaatii hai…bas jo koi jo kahtaa hai log vaisa hii karne lagte haiN…han sach vo time yaqeenan mushkil rahaa hogaa…chelen Allah ne sab kii Hifaazat farmaayii ![]()
mere gaaoN meN ek baar bahooot zabardast hailstorm aur toofaan aayaa thaa…ham sab bahooot Dar gaye the…abba ghar pe the nahiiN…ammii kaa intiqaal ho chukaa thaa…maiN koi 10-11 saal kaa thaa…sister ne kaha k azaan do…maiN ne azaan denii shuruu kii aur ghabraahaT meN ulTii azaan denii shuruu kar dii ya’nii Allaho Akbar ke bajaaye laa ilaaha Illallah se shuru kiyaa
jab storm saath Kahiriyat ke nikal gayaa to hamaarii sisters ne meraa bahot mazaaq uRaayaa auir bahooot chheRaa
**
Re: Timepaas
Some things are funny naa aap ney kalima pehlay hi parhna sharoo ker diyaa ke ab maut ai ![]()
Re: Timepaas
Jab ham bohat chotay thay to disney land dekhnay aaye abbu ney hamein yani mein and abbu and bari do sisters hamaray aagay bethien space mountain ride kaa naam hai jo ab bhi ghalban disney land mein thi jab mein 3 saal pehlay gaii hoon .Kher ham sab beth gaye and it was all dark we didn’t know where r we going it was roller coaster meri sisters ney woh cheekhein maari and mujhe kehna lagein "kalma parhi please and charon kul parho pata nahi ham bachein gay bhi nahi ![]()
Re: Timepaas
haN sahi..maiN bhii gayaa thaa vahaN Los Angeles meN aur mere saath mere baRe bhai aur unkaa beTaa thaa…bhateejaa chhoTaa thaa koi 19 saal kaa to us ne jo hat pahen rakkhaa thaa vo ride ke dauraan uR gayaa hawaa men aur vo cheeKhne lagaa k " my cap dad, my cap" aur seat par machalne lagaa…baRii mushkil se use bhai ne biThaayaa
![]()
Re: Timepaas
Some memories are fun
OK me off now I need rest ![]()
Take care
ALLAH HAFIZ
Re: Timepaas
haan ji, bilkul!..yes, u do need rest…plz take care…Allah Haafiz…shab ba Khair ![]()
Re: Timepaas
subah ho gayee poetry walo, utho
peeyo aur :cobra:, iss say pehlay kay
wali aa jaye.
Re: Timepaas
w.slam
haq haaa ab kya faida mene to usay pm ker dia hai…abhi khushi k aansu bakherti a jaye gi ![]()
Re: Timepaas
![]()