Timepaas

Re: Timepaas

:nahi:
share kerne se …less in my tummy and more in ur tummy…
na share kerne se..more popcorn in my tummy…and isabghol too in my tummy…and nothing in ur tummy :cb:

Re: Timepaas

siyaasat-daan ban’na hey barrey ho kar ??? :konfused:

Re: Timepaas

:smack2: abhi aur kitna bara hoona hai :emmy:
dont u know..girls bari he nahi hooti :blush: they r always 18 :cb:

Re: Timepaas

*Weeraan shehar hai tum bin sunsaan hain galleyaan, ab tau laut aao
Chiraag jalate jalate jal gaeen ungleyaan, ab tau laut aao

Woh jo ek bijli se hum hojate thay bagal-geer
Barsaat mein bhi ab girti nahe bijleyaan, ab tau laut aao

Kab tak karun mein raushan teri yaad ke bujhtay chiraag ko
Kuch tau samjho tum bhi is dil ki majboreyaan ab tau laut aao

Ab khwaab kya? ab khayaal kya? tere milne ka sawaal kya?
Khatam kar hi do tum diloon ki yeh dooreyaan, ab tau laut aao

Naam kun'da hai ab bhi us sookhe shajar per hamara lekin
Sirf mere choone se us per aati nahe patteyaan, ab tau laut aao

Bahaar bhi khafa hogae mujh se tere jaane ke baad
Aati nahe dekhain phooloon pe titleyaan, ab tau laut aao

Tere us aakhri khat ko parhta dekh kar har roz
Mazaaq uraati hain teri sab saheleyaan, ab tau laut aao

'Afzal' thaa jo shaks logoon ke har sawaal ke leye
Sulajhti nahe ab us se zindagi ki paheleyaan, ab tau laut aao ...

*

Re: Timepaas


*
Jaanay kya soch kar lehrain

Saahil se takra kar laut jaati hain

Samajh mein nahe aata

Woh kinaray se bewafai karti hain

Ya laut kar milne ka waada nibhaati hain ...

*

Re: Timepaas

hmmm aik aur poetry forum open huwa hai kia :p

Re: Timepaas


salaam...lagtaa to aisaa hii hai...good na? :D

Re: Timepaas

lagta hia fakhta kahin yehi paiR pe betha rahta hai aik sec main haziR :p

Re: Timepaas


lol...faakhta yaa shaitaan? k naam liyaa aur Haazir ho gayaa...hehe :D vaise, koyal bhii kahiiN door nahiiN hotii...koo koo kartii hai baiThii kisii shaakh-e-sanobar pe :D

Re: Timepaas

nahi koyal tu bechari neechay atey atey haanp jati hia is leay thoRa daiRi se ati :p

Re: Timepaas

kia koyal “baRii bi” haiN? :omg: yeh haaNp kaaNp kiuN jaatii hai? :smiley:

Re: Timepaas

Junk food is baaaaaaaad :(

Re: Timepaas


*

Mein bhool jaana chaahata hoon
Us ko
Us ki muabbat ko
Us ke saath beetay
Tamaam lamhoon ko
Us ke jazboo se pur-lehjoo ko
Haan mein
Sab kuch bhool jana chaahata hoon
Sab kuch
Lekin ...
Us ki yaadain
Har qadam per
Mera rasta rok leti hain
Aur
Mein chaahatay huwe bhi
Ussay bhool nahe paata
Kyon ke
Mein ne tu us se muhabbat ki thee
Aur us ne shaayad
Sirf dil-lagi ki thee
Bas dil-lagi ki thee ...

*

Re: Timepaas

koi hai ? :yawn:

Re: Timepaas

salaam...maiN bhii yehii poochhne aayaa thaa k koii hai? aaiye ji, aaiye :D

Re: Timepaas

Woh Aik Pal

Ajeeb yeh wehshat-e-dil hai
Is bebasi ko kya naam doon
Mein ne har pal jis ki justujoo ki
Har lamha jis ko toot ke chaaha
Aaj woh ek pal ko hi sahi
Haan sirf aik pal ko mera hona chaahata hai
Aur mein apni anaa ke za’em mein
Ussay hamesha ke leye kho rahi hoon
Kyon ke mujh mein shaayad hausla nahe
Kisi aur ke khwaboon ko
Kisi aur ki aankhoon se noch kar
Apni aankhoon mein saja loon
Shayad apni qismat se lartay lartay
Mein thak chuki hoon
Phir jo mere hissay mein hi nahe
Ek pal ke leye hi sahi
Kaisay ussay apni taqdeer bana loon
Aakhir kaisay …

Re: Timepaas

w/salaam... kya horha hai?

Re: Timepaas

Nice sharing Arif.. lakin kuch kal kaliye bhi rakh lain :D

Re: Timepaas


bas kuchh Khaas nahiiN...sone kii taiyaariiyaaN :) its 2:17 am now! :D aap kia kar rahii haiN?

Re: Timepaas

mai bhi soch rahi ho sojaoo.. ap kasa kartay hain tyari sonay ki :konfused: