Timepaas

Re: Timepaas

me kab roti :crying:

Re: Timepaas

Good :k: … aap ko to Pakistan meiN siyaasat meiN hissa lena chahiye :smiley:

Re: Timepaas

bas ap samj gae mera intekhabi nishan yehi hai ab vote dalna nai bhoolna rone wali smily ko vote dena :crying:

Re: Timepaas

Muskaan aap to serious ho gai ho....agar aap election meiN kharri hui to samajh lena Lahore sey aek hi vote parrey ga aap ko, jo ke mera ho ga :D

Re: Timepaas

:waves:

Re: Timepaas

IS where you have been all day man????

Re: Timepaas

*Tumhein mujh ko sataana hai

Chalo jee bhar ke tang kar lo

Ke yeh bachoon ki aadat hai

Khilonay haath mein ho tau

Zara bhi dam nahe letay

Magar thehro

Kabhi aisa bhi hota hai

Issay bhi zehan mein rakhna

Zara se be-dheyaani mein

Zara se be-khayaali mein

Inhain zeyaada satao tau

Yeh aksar rooth jaatay hain

Khilonay toot jaatay hain ...

*

Re: Timepaas

Wah…wah…wah…Arif wah… lutf aa gaya…kya zabardast nazm hey :lajawab: isey to aap ko alag sey thread meiN post karna chahiye thi…

Re: Timepaas

*Meri banjar si aankhoon se

Koi dhoka na khao

Ke tum kab dekh saktay ho

Mere dil mein chuppay ghao

Ay mere kam-sukhan saathi

Tumhein shaayad khabar hogi

Muhabbat mein jo behtay hain

Woh aansoo khushk hotay hain ...

*

Re: Timepaas

:salam: Amal Bhai
main Pakistan k tme 1 baje tak tu yahi tha
us k baad aaj kaam tha office main

Re: Timepaas


*
Ussay kaho apni masroofeyyat kam kar de

Suna hai bicharne ki yeh pehli nishaani hai ...

*

Re: Timepaas

Arif kya baat hey yaar… :lajawab: ..

Amazing :teary1:

Re: Timepaas

*Woh kisi ki khaatir mujhe bhool bhi gaya tau koi baat nahe humdam

Hum bhi tau bhool gaye thay saara zamaana us ki khatir ...

*

Re: Timepaas

Awesome...

Re: Timepaas

Kahan say dhoondh ker latay hain itni qatil nazmain..

Re: Timepaas

fara ji aap subha, subha kidhar??? :D

Re: Timepaas

Meri aap say narazgi hay :(

Re: Timepaas

*Ajab hain raaste mere k chalna bhi nahi mumkin,
Zara thoker jo lag jaye sambhlna bhi nahi mumkin,

Tera chehra meri nazron main dhundla sa na ho jaye,
Bheegi hoi aankhon ko ab malna bhi nahi mumkin,

Mile hain baad muddat k bala k sard hain lehje,
K jalna bhi nahi mumkin pighalna bhi nahi mumkin,

Talluq toot jaane se ummeden toot jaati hain,
Dilon main hasraten le ker bahelna bhi nahi mumkin,

Bohat na-kaamian le ker howa hoon khaak ka qaidi,
Chalo ab aaj se ghar se nikalna bhi nahi mumkin,

Usay itna na socha ker teri aadat na parr jaye,
Phir to aisi aadaten badalna bhi nahi mumkin...

*

Re: Timepaas

Mehfil loat li aap nay... aahoo

Re: Timepaas

Ye sara’sar ziaad’ti hey fara ji :nono: