Timepaas

Re: Timepaas

I am speechless :clap:

Arif saara quota aaj hi khatm kar do ge kya? :wink:

Re: Timepaas

:-(

Re: Timepaas

Hum is per kuch nahi likhaingay.. aahoo :(

Re: Timepaas

*Muhabbat karne wale tau kehtay hain

Ke

Muhabbat zindagi aur zindagi muhabbat hai

Aur yeh bhi ke

Chaand ki jag-magaahat, taaroon ki jhil'milaahat

Phool ki muskuraahat aur kaleyoon ki sharmaahat

Sab kuch muhabbat hai, muhabbat ke dam se hai

Magar ...

Shaam-e-firaaq mein jab har shay pe

Udaasi chaaye ho

Tau ...

Doobta suraj aur is ke baad tanha chaand

Kya yeh bhi muhabbat ka ista'aara nahe

Khwaab dekhne waali aankh se

Nikla aansoo

Woh bhi tau muhabbat hai

Kisi ko paa laina hi muhabbat nahe

Kisi ko khoo kar

Har wakt

Apne paas mehsoos karna

Yeh bhi tau muhabbat hai

Haan ...

Yehi tau muhabbat hai ...*

Re: Timepaas

*Nahe hai hamara haal kuch tumahre haal se alag 'Faraz'

Farq sirf itna hai ke tum yaad karte ho aur hum bhool hi nahe patay ...

*

Re: Timepaas

Lagta hai mein ne gustaakhi kar di is thread mein poetries share kar ke ... Ya kaheen bore tau nahe hone lage yahaan per aap aur baaki sab log meri wajah se ... ?

Re: Timepaas

Zabardast :):k: … Faraz was amazing :frowning:

Re: Timepaas

What are you talking about Arif??? :nono: … itni zabardast nazmeiN aur ghazleiN to aaj saara din parrhney ko nahi mileiN… don’t be so formal buddy :no:

Re: Timepaas

Aaj aap kin hawaaoN meiN sir???? :)

Nahi likh dijeeye na koi encrypted message :)

Re: Timepaas

*Tumhein dekha nahe jaana nahe
Phir bhi yeh lagta hai

Qabeela aik hai apna

Wohi dard-e-judai hai
Wohi bheegi huwi palkain

Naseeb aik hai apna

Kisi se kuch nahe kehna
Koi shikwa nahe karna

Qareena aik hai apna

Kisi ki yaad se hamesha
Weerani-e-dil jag'maga laina

Khazeena aik hai apna

Yaqeen ki aakhri had tak
Millan ki khush'gumaani hai

Nateeja aik hai apna ...

*

Re: Timepaas

Panga is never changa..

Re: Timepaas

According to the nazam this should have been 'naseeba' aik hay apna.. keep sharing, ur choice is awesome..

Re: Timepaas

Thanks for the correction fara ...

Re: Timepaas

*Haqeeqat jaan kar aisi himaaqat kaun karta hai
Bhala be-faiz logoon se muhabbat kaun karta hai

Batao jis tijaarat mein khasaara hi khasaara ho
Bina sochay khasaaray ki tijaarat kaun karta hai

Humein hi galat-fehmi thee kisi ke waastay warna
Zamanay ke rewajoon se bhagaawat kaun karta hai

Khuda ne sabar karnay ki mujhe taufeeq bakshi hai
Array jee bhar ke tarpaao shikaayat kaun karta hai

Kisi ke dil ke zakhmoon pe marham rakhna zaroor hai
Magar is daur mein 'Mohsin' yeh zehmat kaun karta hai ...

*

Re: Timepaas

:nono: … kabhi, kabhi chalta hey :smiley:

Re: Timepaas


*
Mein ne tumhein

Apni muhabbat ke sehar se

Wafa'oun ki zanjeer se

Azaad kia

Magar Khudara ...

Yeh mat pochna ke

Mein ne khud ko

Tumhari qaid se

Azaad kia ya nahe

Ke yakeen jaano

Mein un qaideyoon mein se hoon

Jo khulay darwazay ko dekh kar bhi

Faraar nahe hotay ...

*

Re: Timepaas

beautiful :lajawab:

Re: Timepaas


*
Na-jane kyon galat se lipat kar ronay lagi

Jab hum barsoon baad milay

Jaate huwe jis ne kaha thaa

Tum jaise laakhoon milenge ...

*

Re: Timepaas

Wah…sawaad aa gaya baadshao :phajja:

Re: Timepaas

aap dono aik dosrey ki tareefain eh kertey rahaingey kya :cb: