Re: Timepaas
yahN new koN hia auR ouRana koN hai ![]()
Re: Timepaas
yahN new koN hia auR ouRana koN hai ![]()
Re: Timepaas
ye to barri khushi ki baat hey...aap ke bagheir Poetry section adhoora, adhoora lag raha tha... :)
saamaan rakh dijeeye aur fresh ho jaey ... dinner meiN kya leiN gi??? :)
oh tu dinner khilanay ka jazba b rakhtey haiN
ye maloom na tha hum ko :)
Re: Timepaas
oh tu dinner khilanay ka jazba b rakhtey haiN ye maloom na tha hum ko :)
Likh lijeeye ta'ke sanad rahey aur ba'waqt-e-zaroorat kaam aey :) ... to khaana lagwa dooN? :)
Re: Timepaas
Aap tension na lijeeye NikamiJi, wo apni baat kar rahey heiN…sadyoN sey yahaN par basera hey unka ![]()
Re: Timepaas
Likh lijeeye ta'ke sanad rahey aur ba'waqt-e-zaroorat kaam aey :) ... to khaana lagwa dooN? :)
nahi itnay dino baad milo ho betho kuch baat kaRo..khanay ka kia hai baatoon se pait bhar he jaa'ey gha :p
Re: Timepaas
nahi itnay dino baad milo ho betho kuch baat kaRo..khanay ka kia hai baatoon se pait bhar he jaa'ey gha :p
BaatoN sey dil bharta hey NikamiJi, peit nahi bhara kartey :)
Re: Timepaas
Nikami jo theRi is leaay dil ko pait main he betha lee’a ![]()
Re: Timepaas
Ab itni bhi Nikami nahi heiN aap...itna to pata hi hey hameiN... :)
wesey: ... "baad muddat ke miley ho, kaho kesey ho" ??? :)
Re: Timepaas
Ab itni bhi Nikami nahi heiN aap...itna to pata hi hey hameiN... :)
wesey: ... "baad muddat ke miley ho, kaho kesey ho" ??? :)
*ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai...
aur soch ke aangan mein utarta bhi wohi hai... *
:)
Re: Timepaas
*ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai... aur soch ke aangan mein utarta bhi wohi hai... *
:)
wah...wah...kya baat hey NikamiJi...pata chala na koi puraana khilaari meidaan meiN utra hey :)
Re: Timepaas
agar yahaN koi nayaa nahiiN to phir maiN huNgaa…kuchh ID’s naa deedaa haiN ![]()
Re: Timepaas
KK bhai aap kidhar paaey jaatey heiN aaj kal? :D
Re: Timepaas
Amal bhai maiN aajkal vahaN paayaa jaataa huN jahaaN koii aur nahiiN paayaa jaataa :D guesseN! :)
Re: Timepaas
wah...wah...kya baat hey NikamiJi...pata chala na koi puraana khilaari meidaan meiN utra hey :)
***Åpne Åpni Åånkho Me Nur Chupå Råkhå Håi,
Hosh Wålo Ko Diwånå Bånå Råkhå Håi,
Nåz Kåise Nå Kåru Ååpki Dosti Pår Muj Jåise Nåchiz Ko
"KHÅS" Bånå Råkhå Håi...
Re: Timepaas
Amal bhai maiN aajkal vahaN paayaa jaataa huN jahaaN koii aur nahiiN paayaa jaataa :D guesseN! :)
Hazrat-e-aadam ney roey-zameen pe to aesi koi jaga chorri nahi ke jahaN wo na paey jaatey hoN... :)
is ka matlab ye hey ke aap dunya-o-mafia sey be-gaana ho kar, aalim-e-madhoshi meiN waqt ke dosh pe safar kartey huwey kaenaat ke kisi hanooz gheir-daryaaft-shuda saiyaarey pe kheima'zan heiN :D
Re: Timepaas
NikamiJi aaj to aap par, aap hi ka jadu sar charr kar bol raha hey
…
Re: Timepaas
Hazrat-e-aadam ney roey-zameen pe to aesi koi jaga chorri nahi ke jahaN wo na paey jaatey hoN... :)
is ka matlab ye hey ke aap dunya-o-mafia sey be-gaana ho kar, aalim-e-madhoshi meiN waqt ke dosh pe safar kartey huwey kaenaat ke kisi hanooz gheir-daryaaft-shuda saiyaarey pe kheima'zan heiN :D
*wowwwwwwwww!!!!!!!! mashaa Allah...aaj mujhe ek nayaa sitaaraa ufaq e urdu par nazar aayaa...waah...kia ibaarat raqam farmaayii hai...dunyaa ke mafia ke chakkar meN qasams e nahiiN huN...bhai maiN vahaN huN jahan insaanii qadam kaa guzar nahiiN...nashistah huN mast o meHv-e-Khayaal-e-Khaam meN :D *

Khalil bhai hum kya aur hamaari aoqaat kya...aap ki sohbat sey faiz'yaab ho rahey heiN aur kya :)
Wesey aap ki nazm parrhi thi shaam meiN...kya kamaal likhtey heiN aap... aap ki chatt par 'pankhoN' ki kuch jaga baaqi ho to hameiN bhi kaheiN taang dijeeye please :D
Re: Timepaas
nawazish hia ap ki warna Nikami kis qabil …hai na ![]()
Re: Timepaas
yani k chaaR
paee k paaya ![]()