Timepaas

Re: Timepaas

NikamiJi aap ke bina Poetry forum ka shakl ban kar hi nahi deti :(

Re: Timepaas

Yahan tu mehfil garam lag rahi hay... KKF, NJ and Amal... asalam-o-alykum dosto

Re: Timepaas

:wsalam: fara ji… good night :slight_smile:

Re: Timepaas


**bhaii merii auqaat to aapse bhii naa_guftah_beh hai...mere auqaat to bhaii 8:30 am to 4:30 pm hii haiN ;)

shukria janaab k aapko merii adnaa sii kavish pasand aayii...vo to aapkaa Husn-e-nazat hai varna cheh piddi cheh piddi kaa shorbaa :D

ajii ham Ghareeb logoN ke yahaN pankhaa hii kab hai...sardii se to jaan chhooTe pahle :(**

Re: Timepaas

chaliN ap b kia yaad kaRan gain aik gazal post kaR he daiti ap k leay :)
lakin Nikami kisi ko yaad nahi is leay soocha kia jana ya na jana kia faRaq :)

Re: Timepaas


**
wa'laikum assalaam...ab aap aa gaii haiN to yeh maHfil garam jo thii ab bhaap ban ke uRan chhoo ho jaayegii :D kaisi haiN?**

Re: Timepaas

NikamiJi aap koi bhoolney waali cheez to nahi na :slight_smile: … “cheez” ke leeye muaazrat :cb: … lekin ye haqaeeqat hey ke aap ke bina mehfil meiN kuch kami si rehti hey :slight_smile:

Re: Timepaas

Khalil bhai teen meiN sey aek nazm sey to hum mustafeed ho gaey, baaqi ki do kab ataa kar rahey heiN?????

Ye bhi sahi irshaad farmaya aap ney...aap ko to pankhoN ki nahi balke heaters ki zaroorat hey :)

Re: Timepaas

yani k say “cheeze” :hehe: isi pe aik bat yaad aiey k jab samany aiey tu yaad waRan aankh ojhal pahaR ojal..

Is Zindagi K Hain Do Jahan
Ik Ye Jahan
Ik Woh Jahan
In Do Jahanon K Darmiyan
Fasla Hai Ik Saans Ka
Jo Chalta Rahay To
Ye Jahan
To Toot Jay To Woh Jahan
:slight_smile:

Re: Timepaas

oh tu ye dhuwaan kahan se uth.ta hai ap ka mutlab ye hai :snoorty:

Re: Timepaas

kabhi kabhi aaNkh khud hi gum ho jaati hey to aur kuch kya deikhey… :slight_smile:

Re: Timepaas

yani k yuuN kahna chaiey

ek chand tanha khara raha, maiRay asmaan say zara paRay
maRray saath saath safaR mai tha mairi manzilon say zaRa paRay:)

Re: Timepaas

**inshaa Allah talaash kar ke chaspaan kar duuNgaa bhale aap log paRh ke bhaag khaRe hoN :omg: thankoo :smiley:
**

nahiiN jii…dhuvaaN-dhaar to ham Khud hii haiN jab bolne pe aa jaayeN to…mastoorata ko haraa chukaa huN yak chuTkii meN :smiley:

Re: Timepaas

ji, ji…kuch yehi moaam’la huwa ho ga…aap to samajhdaar heiN… nikammi to nahi :nono:

Re: Timepaas

wo aap hum par chorr dijeeye…aap bas meharbaani farma kar unhey talaash kar ke yahaN post kar dijeeye :slight_smile:

Re: Timepaas

ok loGo sab ka Allah HafiZ tame to sleep now :)zindghi ne saath dee'ya tu phiR milaiN gain kabhi :)

Re: Timepaas

Good night NikamiJi...umeed hey aap ye silsila jaari rakheiN gi :)

Re: Timepaas

:salam:

Re: Timepaas

w.salaam inno paye.. kasay hain?

Re: Timepaas

jiti rahien khush rahien
main theak thaak ALLAH kesi hain :-)