Timepaas

Re: Timepaas

tubha tubha apnay monh mia mithoo :snooty:

Re: Timepaas


alHamdolillah fine shine...bhateeje aur bhateeji kaa study week Khatm honewaalaa hai kal is liye un donoN ko aaj se le kar kal tak vaapas universitry chhoRnaa hai...total driving 500 km :( shopping oopar se karvaanii hai...so, wknd busy :(

Re: Timepaas

ami ko hamra bhi salaam kahiye :)

Re: Timepaas

**ab koi aur ta’reef bhii to nahiiN kartaa to martaa kia na kartaa … Khud sitaa’ish pe tabii’at maa’il ho gai :**cb:

Re: Timepaas

ap kisi ko moqa hi nahi daitay hogay tareef karnay ka :p

Re: Timepaas

Ammi kehri haiN w assalam :)

Re: Timepaas


mauq'a denaa Khatarnaak hotaa hai...mauq'a dekh ke log vaar kar dete haiN :D


meraa salaam to kahaa nahiiN hogaa :D ab kah deN...kahiyegaa k luckhnauwi salaam pesh e Khidmat hai :)

Re: Timepaas

aww how sweet :)

Re: Timepaas

Karachi walay bhee apko salam pesh kertay haiN :)

Re: Timepaas


kia andaaz e salaam hogaa Karachi aur Lucknow kaa :D maiN to jhuk jhuk ke salaam kar kar ke dohraa ho gayaa :D

Re: Timepaas

Nahi itna bhee jhknay ki zaroorat nahi hay.. khush rahiyee

Re: Timepaas

ab kia…aapkaa mashwarah der se milaa…damage has been done…ab to maiN kamaan lagtaa huN…teer kii bas kamii hai…teer-e-nazar that is :wink: :omg:

Re: Timepaas

<font-size=“5”>

Koi hey???

http://i54.tinypic.com/spkz6h.gif

</font-size=“5”>

Re: Timepaas

*Yaadain bhi hain kuch aisi tere naam se wabasta
Har subha hai jaise har shaam se wabasta

Bas tere tassawur se fursat hi nahe milti
Rehti hain teri yaadain har saans se wabasta

Laakhon hain tamanna'ain per yeh dua hai
Bas naam rahe mera tere naam se wabasta ...

*

Re: Timepaas

LOL :omg:

Mai ho na :wink:

Re: Timepaas

Yun lag raha hai jaise sada-dene wala khud hi manzar se gayyab ho ...

Re: Timepaas

Hello Shab :slight_smile:

Arif how are you? :slight_smile:

Re: Timepaas

Im fine Amal, gaaliban aap kaheen busy thay ... ?

AOA Shab, kaisi hain aap ?

Re: Timepaas

:salam:

Kaiseh ho saab bhen bhai?

Re: Timepaas

MeiN to idhar hi tha Arif…aap hi gaib the :slight_smile:

:wsalam: Faris :slight_smile: how are you?