Timepaas

Re: Timepaas

Isi leeye to jald hi thak jaatey heiN aur phir chupke sey nikal jaatey heiN patli gali sey :cb:

Re: Timepaas

Aww... lagta hay khaffa hu gayee haiN muhtaram :(

Re: Timepaas

ye shaed koi halwey ki plate pohNch gai hey ghar :cb:

Re: Timepaas


*
Ab ke sa'att bicharne ki maujood hai
Dayemi hijar ka aagaya marhala
Khushk aankhoon mein hasrat leye teri phir
Keh rahi hoon tumhein ab chalo 'Alwida'

Kuch purani kitaboon ke auraaq mein
Jab bhi sookhay gulaboon ki khushboo mile
Un se kehna kaha mein ne hai 'Alwida'

Kaanch ki chooreyoon se kuredi huwi
Geeli deewar ke naam ko 'Alwida'

Bench per jo sajaaye thay botay kaee
Khurduri bench ki sat'tah ko 'Alwida'

Jab kisi shaam aahat pe guzre gumaan
Ke milain hum issi tarah aur issi jagah
Tum yeh dua karna
Is zameen pe dobara se hum tum milain
Ban ke khushboo kabhi
Ban ke tittli kabhi
Raushni ban ke bikhrain issi tarah hum

Ab ke sa'att bicharne ki maujood hai
Dayemi hijar ka aagaya marhala
Khushk aankhoon mein hasrat leye teri phir
Keh rahi hoon tumhein ab chalo 'Alwida' ...

*

Re: Timepaas


*
Woh apne hathoon ki lakeeroon ko jab bhi dekhti

Bara shikwa, bari shikayat karti

Ke mujh mein aisi kya kami thee 'Ay Khuda'

Kyon woh mere hathoon ki lakeeroon ka hissa na bana ...

*

Re: Timepaas

Arif thanx for giving us a poetic break :)

Re: Timepaas

Nice one Arif :)

Re: Timepaas

*Na gila hai koi halaat se na shikayattain teri zaat se
Khud hi sare warq juda huwe meri zindagi ki kitaab se

Tujhe chaaha tujhe paa liya tujhe paa ke bhi tujhe kho diya
Mujhe khwahishoon ki thee aarzoo meri zindagi mein azaab thay

Meri wehshaton ki raah mein faqqat mehfiloon ke sarab thay
Kati umer jin ki talaash mein meri rat-jagoon ke wohi khwaab thay

Yun bhatak bhatak ke tamaam umer kabhi asar hi na huwa
Jinhain kho diya tere ishq mein woh sapnay be-hisaab thay ...

*

Re: Timepaas

*Woh ek masoom si chaahat
Woh ek be-naam si ulfat
Woh meri zaat ka hissa
Woh meri zeest ka qissa
Mujhe mehsoos hota hai
Woh mere paas hai ab bhi
Woh jab jab yaad aata hai
Nigaahon mein samaata hai
Zubaan khamosh hoti hai
Magar yeh aankh roti hai
Mein khud se pooch leta hoon
Jisay mein pyar karta hoon
Ussay kya pyar thaa mujh se
Phir khud hi soch leta hoon
Ussay bhi pyar thaa shayad
Issi shayad se wabasta hai ab tau har khushi meri
Yeh ek lafz shayad ban gaye hai zindagi meri ...

*

Re: Timepaas

so gaya ye jahaaN...

Re: Timepaas

nahi abhi uth rahay haiN :p

Re: Timepaas

I am back with full josh :D

Re: Timepaas

salaam...aaiye aaiye...ham bhii taiyaar haiN aapko9 recieve karne ke liye with FULL josh o Kharosh! :D Khush aamded/welcome/shubh-aagaman :)

Re: Timepaas

sogya asman :rolleyes:

Re: Timepaas

**kia vo gaanaa mentioning:

suunaa aasmaaN so gayaa…silsila movie kaa???**

Re: Timepaas

nahi ye koi aru song hai ... 1 2 3 456 7891011 ye wali movie ka

Re: Timepaas


oh ... poor Bollywood film makers...ab to naam kii jagah yeh lambi lambi gintiyaaN dene lage :D

Re: Timepaas

aray ye naam nahi song hai...madhori ka :D

Re: Timepaas

lo ji, kar lo gallaaN! maiN nu nai aandiyaaN gintiyaaN…really? yeh bhi koi gaanaa hai? tauba tauba! kia buraa Haal huaa Bollywood kaa :frowning: achchhaa huaa maiN nahiiN gayaa varna mujh se to aise gaane na likhe jaate :omg:

Re: Timepaas

hain ap say ksay ganay likhay jatay? Munni badnaam jasay :rolleyes: